Sochta hoon SMS Messages21 messages

Andhairi Raat K Lamhe Tamam Hone Tak,
Tujhe Hi Sochta hoon Subho Se Shaam Hone Tak,

Main Aisa Jisam Hoon Jis Ki Rooh Bhi Tu Hai,
Adhuri Zaat Hoon Main Tere Naam Hone Tak,

Teri Aawaz Sun Na Loon To DIL Nahi Lagta,
Tarapta Rehta Hoon Tujh Se HUM Kalaam Hone Tak,

Teri Nazar Ki Keemat Pe Bik Raha Hai Koi,
Use Khareed Le Tu Mehnge Daam Hone Tak,

Ishq Ki Aag Jo Seene Mein Laga Baithe Hain,
Sulagti Rehti Hai Ye Neendein Haram Hone Tak
mai rahi hoon rah-e-adam ka mujhe zindgi ki fikar nahi
mai ji raha hoon is ghari mujhe aglay pal ki khabar nahi
mai beta hoon hawaon ka mujhe koii bhi pakar na sake
yunhi phirta hoon gali gali mera kahin pe koii ghaar nahi
Sochta hoon kiya chal sake gain mere saath ehbab mere
chala hoon aankh band kar ke mujhe rastun ki khabar nahi
mai kho gaya hoon khud say hi ,mujhe apni hi talash hai
chal raha hoon dhoop main mere sar pe koii Aabar nahi
mere pas yunhi baithe raho mere dil pe hath dharo zara
mere dil ko thora karar do meri wehshatun ko sabar nahi
ye kitab dil ki kitab hai isse samajhte hain samajhne wale
ye falsafa hai muhabbtun ka yahan koii zair-o-zabar nahi ..............
Kuch likhna chahta hoon...
Sochta hoon kya likhoon.

Phoolon ki woh mehekti khusbu,
Barish ka woh bheega paani,
Aur hawa mein thi jo rawaani,
Kya us mausam ka khumaar likhoon???

Thi chehre par unki masoomiyat,
Aankhon mein thi thodi sharaarat,
Aur baaton mein woh nazaakat,
Kya unka rangeen mijaaj likhoon???

Unka aakar muskarana,
Jo rooth jaun to manana,
Jaate jaate phir rulaana,
Kya unka yeh andaaz likhoon???

Yaadon mein unki ashq bahaana,
Har shaam ek diya jalaana,
Soyi ummeed ko roz jagaana,
Kya unka yeh intzaar likhoon??
Tum ney samja he nahi mari chahat ko kabi
Tum ney chaha he nahi mari muhabat ko kabi
Sochta hoon main jaan leeta tumhey
Main ney perkha nahi tari fittrat ko kabi
Mana ik umar kati yadoon main chaltey hoey
Wo marasam na rahey rahoon pe chaltey hoey
Ab hey tanhaian aur perchaian baki
Ho gey ham sey juda wo hamsafar marey sathi
Sochta hoon ke main jaan leeta tumhey
Main ney jana hee nahi tari hasrat ko kabi
Ye safar piyar ka tanha kat“ta hee nahi
Koi bee per hoo dil machalta hee nahi
Tum ko maloom hey tum dulruba hamarey they
Piyar ke rahoon main tum hamsafar hamarey they
Sochta hoon ke main jaan leeta tumhain
Main ney socha hee nahi tari ulfat ko kabi
Sochta hoon taire bare main apna kheyal likhoon
tairi tehreef likhoon ya khuda ka kamal likhoon

maire qalam se aur koi tehreer ban na paaey
main jab bhe likhoon bas taira hus-ne-jamal likhoon

main ne ek ummer kati ha tenhaiyoon main
kaghaz k aik tukre pe kaise main hal likhoon

her zindgi ko urooj tak jo rahnamai de
main apni zindgi ki aaisi misal likhoon

maire baad bhe muje loog kitaboon main dein jaga
main apne urooj ki terha apna zawal likhoon
Mein Sochta hoon kuch uss se kahon
koi baat mohabat, ulfat ki
koi baat sunehrey khwaboun ki
koi baat ke jis k harf harf se
be-naam si khushbu poothi ho
phir sochta hon kya hasil hai
gar uss ko sab kuch keh bhi diya
ye lafz be-kaar jayengey
mai Sochta hoon aik geet likoon
unn komal pyare hathon par
uss phoolon waley aanchal par
jisey audh ke wo ek pari lage
kabhi Sochta hoon koi nazam kahoon
bas jis main uss ki baatain hon
un gehri gehri aankhon par
jin aankhuon main kai sadiyon k
kai qissay hain, afsanay hain
phir aksar yun bhi Sochta hoon
main kuch na kahoon ye behtar hai
har zakhm chupa kar seenay main
bas dukh hii sahoon ye behtar hai
jab unko aitbaar nahi hai
jahan lafz yaqeen se khali hon
wahan chup hii rahon ye behter hai.
Main Tujhey Chaahta Nahin Leikin!!

Main Tujhey Chaahta Nahin Lekin
Phir Bhi Jab Paas Tu Nahin Hoti
Khud Ko Kitna Udaas Paata Hoon
Gham Say Apney Hawas Paata Hoon
Jaaney Kya Dhun Samaai Rehti Hai
Ikk Khamoshi Sii Chaai Rehti Hai
Khud Say Bhi Guftaguu Nahin Rehti
Main Tujhey Chaahta Nahin Lekin
Phir Bhi Shab Ki Taweel Khalwat Mein
Tairey Awqaat Sochta hoon
Kon Say Phool Tujh Ko Bhaatey Hain
Rang Kya Kya Pasand Aatey Hain
Kho Sa Jaata Hoon Tairi Samaat Mein
Main Tujhey Chaahta Nahin Lekin
Phir Bhi Ehsaas Say Nijaat Nahin
Sochta hoon To Ranj Hota Hai
Dil Ko Jaisey Koi Dabota Hai
Jiss Ko Itna Sarahta Hoon Main
Jiss Ko Iss Darja Chaahta Hoon Main
Uss Mein Teri Sii Koi Baat Nahin
Main Tujhey Chaahta Nahin Lekin!!!
Wo Aankhein
Meri Aankhein To Nahi Phir Bhi
Wo Jo Kuch Dekhti Hain
Dekhti Rehti Hain
Main Bhi Dekhta Hoon
Dekhta Rehta Hoon
Jis Se Rooth Jaati Hain
Main Us Se Rooth Jaata Hoon
Wo Jis Se Pyaar Karti Hain
Main Us Se Pyaar Karta Hoon
Wo Aankhein
Meri Aankhein To Nahi Phir Bhi
Wo Jo Kuch Sochti Hain
Sochti Rehti Hain
Main Bhi Sochta hoon
Sochta Rehta Hoon
Jis Dam Muskuraati Hain
Main Us Dam Muskurata Hoon
Wo Jab Afsurda Hoti Hain
To Main Afsurdsa Hota Hoon
Wo Aankhein
Meri Aankhein Ho Nahi Sakteen
Magar Phir Bhi
Diwaana Hoon Jo Un Ko
Chaahta Hoon, Chaahta Hoon
Chaahta Rehta Hoon
Wajah koi nahi lekin .....
Woh mujh se har waqt naraz rehti hai ....
Kahin raste mein mil jaye .....
To nazren pher leti hai .....
Koi us se mera haal poochey.....
To us se rooth jati hai ....
Kabhi baaton baaton mein ....
Jo mera zikr aa jaye ....
Chali jati hai uth ker woh ....
Woh mujh se itna chidhti hai....
Ke ab to Sochta hoon main ....
Kaheen mujh se ....
"Mohabbat to nahi us ko"
Uski yaadon ka silsila hoga
is kahani main or kya hoga
jab bichar kar bhi wo khamosh raha
Ghar jaa kar tu ro diya hoga
khud ko samjha diya hay main magar
kya wo khud bhi badal gaya hoga
itna aasaan na tha mujhay khona
usne khud ko ganwa dia hoga
mujh ko veeran kar diya jis ne
khud tu aabaad kahin huwa hoga
Sochta hoon jo mujhko chahta tha
yaad mujh ko kar raha hoga
Uski yaadon ka silsila hoga
is kahani main or kya hoga
jab bichar kar bhi wo khamosh raha
Ghar jaa kar tu ro diya hoga
khud ko samjha diya hay maine magar
kya wo khud bhi badal gaya hoga
itna aasaan na tha mujhay khona
usne khud ko ganwa dia hoga
mujh ko veeran kar diya jis ne
khud tu aabaad kahin huwa hoga
Sochta hoon jo mujhko chahta tha
yaad mujh ko kar raha hoga
Sochta hoon k usay neend bhi aati ho gee
Ya meri tarah ashq bahati ho gee
Woh meri shakal mera naam bholanay wali
Apni tasveer say kya aankh milati ho gee
Is zameen par bhi hai selaab meray ashqon say
Meray matam ki sada arsh hilati ho gee