Shahar SMS Messages21 messages

aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n
Shahar me.n aaj raushanii kam hai

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai

aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai

tere dam se hii mai.n mukammal huu.N
bin tere terii ''Yamini'' kam hai
Ikr-E-Shab-E-Firaaq Se Vahshat Usay Bhi Thi
Meri Tarah Kisi Se Muhabbat Usay Bhi Thi
Mujh Ko Bhi Shauq Thaa Naye Chehroon Ki Deed Kaa
Rastaa Badal Ke Chalnay Ki Aadat Usay Bhi Thi
Mujh Se Bichhar Ke Shahar Mein Ghul Mil Gayaa Vo Shakhs
Haalaanke Shahar Bhar Se Raqabat Usay Bhi Thi
Vo Mujh Se Barh Ke Zabt Kaa Aadi Thaa Ji Gayaa
Varnaa Har Ek Saans Qayaamat Usay Bhi Thi
kehta hi raha tujhse k piyary nahi achay
her waqt yeh palkon pe sitare nahi achay

us roz se mosam bhi bohat talkh huwa hai
jis roz se taiwar yeh tumaray nahi achay

un hi se tu abad hai yeh Shahar-e-mohbat
kehte ho jinhain dard k maray nahi achay

es shaher mein tera bhi koi jurm tu hoga
ilzaam meri zaat pe saray nahi achay

aise tu parindon ki yeh hijrat nahi hai
lagta hai k mosam k ishaaray nahi achay
HaatH MeRaA Ai MeRii ParChhaaii Tu Hii ThaaM Le
Ek MuddaT Se MujhE To SuujhtaA KuchH Bhii NahiiN

Shahar Ye ShaB Me KauN Saa GhaR ThA Na Dii JiS PaR SadaA
NiinD Ke AndhE MusaafiR Ko MilaA KuchH Bhii NahiiN

UmR BhaR UmR Ye GurezaaN Se Na MeRii Ban SaKii
Jo KarE KaRatii RahE MaiN PuchhtA KuchH Bhii NahiiN

Wo Bhii ShaayaD Ro PaDe ViiraaN KaaGaz DekH KaR
MaiN Ne Us Ko AaKhirii KhaT Me LikhaA KuchH Bhii NahiiN
Ek Pasheman Si Hasrat Se Mujhe Sochta Hai
Ab Wohi Shahar Mohabbat Se Mujhe Sochta Hai
Mein To Mehdood Se Lamhoo Me Mii Thi Os Ko
Phir Bhi Wo Kitni Wizahat Se Mujhe Sochta Hai
Jis Ne Socha Hi Na Tha Hijzar Ka Mumkin Hona
Dukh Mein Dobi Howi Hairat Se Mujhe Sochta Hai
Garcha Ab Tark-E-Marasim Ko Bohat Dair Howi
Ab Bhi Wo Meri Ijazat Se Mujhe Sochta Hai
Kitne Kush Feham Hai Wo Sakhs Ke Har Mausam Mein
Ek Naye Rukh,Naye Soorat Se Mujhe Sochta Hai
Kal khud hi apni mehfil se nikala tha

aaj hue se deewaane dhundte hai.

Musafir be-khabar hai teri aankhon se,

tere Shahar mei maikhaane dhundte hai
is ajnabi Shahar mein yeh pathar kahan sy aaya sagar..

logon ki iss bheer main koi apna zaror hai..
Roshan ho deepak sara jag jagmagaye,
liye sath Sita maiyya ko Ram jee hain aaye,
har Shahar yu lage mano Ayodhya ho
aao, har dwar har gali har mod pe hum deep jalaye. Happy Diwali
Roshan ho deepak sara jag jagmagaye,
liye sath Sita maiyya ko Ram jee hain aaye,
har Shahar yu lage mano Ayodhya ho
aao, har dwar har gali har mod pe hum deep jalaye. Happy Diwali