Shahar SMS Messages21 messages

Meine kaha pyar mein kuch bhi kar sakta hun Daaaaarling...
.
.
.
.
Usne muskra ke kaha:WATAN CARD to dilwa do Qk hamare Shahar mein bhi selaab aaya tha.
Chhoor kar sahil-e-hayat chala ab safina mera kahiein thahry
zahar peena mera muqadar hay aur tere hoont dil-nasheen thahry
kis tarah tere aastaan pe rukoon jab na paoon taly zameen thahry
Mein tera Shahar chhoor jaoon ga...

Mujh ko itana zaroor kehna hay waqt-e-rukhsat salaam say pehly..
toor loon rishta-e-nazar mein bhi tu utar aye baam say pehly
ye meri jaan mera vaada hay kal kisi waqt sham say pehly..
Mein tera Shahar chhoor jaoon ga.........
Is se pahly k teri
chashm-e-karam maazarat ki nigaah ban jay..
Pyaar Dhal jay mere ashkoon mein aarazoo ek aah ban jay..
Mujh pe aa jay ishq ka ilzaam aur tu begunaah ban jay..
Mien tera Shahar chhoor jaoon ga...

Is se pahly k sadagi teri lab-e-Khaamosh ko gila keh day..
Teri majaboriyaan na dekh sake aur dil tujh ko bewafa keh day..
Jany mein beKhudi mein kya poochoon,
jany tu beruKhi say kya keh day
mien tera Shahar chhoor jaoon ga...

Is say pahly k tere hontoon say Ghair honoon k jaam Takraien
is se pahale ke zulf k baadal ajanabi bazuoon pe lehrayein
aur teri bebasi k nazary meri aankhoon pe aag barasayein..
Mein tera Shahar chhoor jaoon ga..
mohabbat ke raaz hum tumhe bataayen kya

zakhm hi zakhm hain dil dikhaayen kya



hai khel zindagi ka taqdeeron ke haath mein

jo hona hai so hona hai ghabraayen kya...?



utthaa rahe hain tere dar se mujhko log

tum kaho to duniya se utth jaayen kya....?



unka Shahar hai unke log unhi ki mehfil

yaa.n kisi ko apni dastaan sunaayen kya
zikr-e-shab-e-firaq se vehshat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabat use bhi thi

mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki deed ka
rasta badal ke chalane ki aadat use bhi thi

us raat der tak vo raha mahv-e-guftagoo
masroof main bhi kam thaa faragat use bhi thi

sunta tha vo bhi sab se purani kahaniyaan
taza rafaqaton ki zaroorat use bhi thi

mujh se bichar ke shaher main ghul mil gaya vo shaKhs
haalaa ke Shahar bhar se raqabat use bhi thi

"KASH"na jan khud ko nakaam kay bad zouq,
woh mana nahi par tujh say mohabbat usay bhi thi,

vo mujh se barh ke zabt ka aadi tha ji gaya
varna har ek saans qayamat use bhi thi
WO DIL KI BATIAN ZAMANAY BHAR KO NA YON SUNATA .. MUJAA BATAATA
WO EK DAFA TU MARI MUHABAT KO AZMATA .. MUJAA BATATA

ZUBAN-E-KHALKAT SA JANAY KIA KIA .. WO MUJ KO BAWAR KARA RAHA HAI
AIK DAFA TU ANNA KI DEWAR GIRATA .. MUJAA BATATA

ZAMANAY WALON KO KIA PARI K SUNAIN HAL-E-DIL SHAKASTAH...
MARI TU ARZO THI.. MUJAA BULATAH.. MUJAA BATATA

MUJAA KHABAR HAI ANDAIRAY USAY CHUPKAY CHUPKAY NIGAL RAHAY HAIN
MAIN US KI RAHON MAIN APNAY DIL KA DIYA JALATAH .. MUJAA BATATA

SITAM KIA HAI MUNEER .. K US NA Shahar CHORA HAI KHAMOSHI SA
MAIN US KI KHATIR YA SARI DUNYA BI CHOR JATA .. MUJAA BATATA
USKA HI ZIKR HAI AUR MAIN HUN
ISHQ BE KHABAR HAI AUR MAIN HUN

ZYADA KEHNA BHI KYA LAFZ HANSTE SE HAIN
USKA HI ASAR HAI AUR MAIN HUN

FASLE NA RAHE DOORIYAN MIT CHUKIN
PYAR KA IK Shahar HAI AUR MAIN HUN

EK GUMNAAM PYAR EK KHAAMOSH ISHQ
HASRATON KA NAGAR HAI AUR MAIN HUN
Hain Ghar Ki Muhafiz Meri Dehki Hui Aankhein,
Main Taaq Mein Rakh Aaya Hoon Jalti Hui Aankhein,

Ek Pal Bhi Kisi Mod Pe Rukne Nahi Deti,
Kaanto Ki Tarah Jism Mein Chubhti Hui Aankhein,

Raste Mein Kadam Phoonk Ke Rakhna Mere Pyaaron,
Hain Chaaron Taraf Shahar Mein Bikhri Hui Aankhein,

Yun Us Ke Bichhad Jane Pe Aansu Na Bahao,
Manzar Ko Taras Jayengi Bhigi Hui Aankhein,

Qaatil Ke Siwa Koi Samajh Hi Nahi Sakta,
Kya Dekhti Hai Tasht Mein Rakhi Hui Aankhein,

Kya Jaaniye Kis Khwab Ki Taabir Mein Gum Hai,
Zulfon Ki Ghani Chhanv Mein Uljhi Hui Aankhein,

''Talha'' Shab-E-Tira Mein Ujalon Ki Amin Hai,
Nafrat Ke Samundar Mein Ye Behti Hui Aankhein...
ahal-e-dil aur bhi hain ahal-e-vafaa aur bhi hain
ek ham hii nahi duniya se Khafa aur bhi hain

kya hua ger merey yaaron ki zabaanein chup hain
mere shahid mere yaaron ke sivaa aur bhi hain

hum pe hi Khatam nahi maslak-e-shoriidaa_sarii
chaak-e-dil aur bhi hai chaak-e-qabaa aur bhii hain

sar salaamat hai to kya sang-e-malaamat ki kami
jaan baaqi hai to paikaan-e-qazaa aur bhi hain

munsif-e-Shahar ki vahadat pay na harf aa jaaye
log kahate hain ke arabaab-e-jafaa aur bhi hain
Tum bhi khafaa ho log bhii beraham hain dosto
ab ho chalaa yaqiin ke bure ham hain dosto

kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa kare.n
aankhen to dushmanon kii bhii pur nam hain dosto

apane sivaa hamaare na hone kaa gam kise
apanii talaash men to ham hii ham hain dosto

kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa
kuchh Shahar ke chiraag bhii maddham hain dosto

is Shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
ab dil kii raunaqen bhii koii dam hain dosto

sab kuchh sahii ''SaaMer'' par itanaa zaruur hai
duniyaa men aise log bahut kam hain dosto
mujh se vaqif to mere jism ka saya bhi na tha
kaise ho jata tumhara main Khud apna bhi na tha,
jitana mayus hai vo shaKhs bichar kar mujh se
itnii shiddat se to main ne use chaaha bhi na tha,
jaise ilzam lagaye hain mere sar us ne
aisi nazaron se to main ne use dekhaa bhi na tha
merii aavaaz kaa Gham Shahar ne jana kaise
main to us bhiid main Khamosh tha bola bhi na tha......!!!!
Bebasi Jurm hai honsla Jurm hai
Zindgi teri ik ik adah Jurm hai

Aye sanam tere barey kuch sooch ker
Apney barey mai kuch soocha jurm hai

Yaad rakhna tujey mera ik jurm tha
Bhool jana tujey mera doosra jurm hai

Kya sitam hai key tere haseen Shahar mai
Har taraf ghoor sey dheikhna jurm hai


Bebasi Jurm hai honsla Jurm hai
Zindgi teri ik ik adah Jurm hai