Gulon ke beech tera chehra bada suhaana lagey
Chaandni raath mein chaand bhi ab puraana lagey
Shabnum bani sharaab teri must nigaahi ka hai asar
Husn tera hamein maikadey se judaa na lagey
Ghar baith ke peeney lagey jo hum teri nigaahon se
Soona soona zamaaney ka har maikhana lagey
Bijliyon se thi nafrat inhein aadtah aashiyaan jalaney ki
woh hans ke bijliyaan dil pe giraayein bhi to buraa na lagey
leliye ghum inkey tamaam hamein jo azeez they
ki aabaad
Sada ghumon se dil ka khazaana lagey
sambhaali hai khud kashti tofan-e-ghum mein
ki na-qudaa bhi ab ilyas ko na-qudaa na lagey