Rooth SMS Messages129 messages

Mujhe bass itna kehna hai, kabhi main yaad aoon to
Kabhi tanhayee ki raatain, tumhai zyada satayen to
Kabhi titli na bole to, aur jugnu lot jaye to
Kabhi jab dil bhi bhar jaye, Koi jab sun na paye to
Kabhi sab dost saathi bhi jo tum se Rooth jayen to
Kabhi jab khud se lad ker thakan se chur ho jao to
Kabhi chahte huwe bhi khud akele roo na pao to
Apni aankhon ko band kerna mujhe awaz de dena
Phir mere tasawwur se jo chahai baatain keh dena
Mere kandhe per sir rakh ker tum jitna chahe ro lena
Jab main khud lout jaon to apni dunya chale jana
Magar bass itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khusyoon main
Humain dil se pukaro ge
Humain tum saath pao ge.
Yaad Na Karo Gi To Sataoun Ga
Rootho Gi To Manaoun Ga
Ro Gi To Hasaoun Ga
Dost Hoon Mein Tumhara Saaya Nahin
Jo Andhere Mein Saath Chor Jaoun Ga
Yaad Na Karo Gi To Sataoun Ga
Rootho Gi To Manaoun Ga
Ro Gi To Hasaoun Ga
Dost Hoon Mein Tumhara Saaya Nahin
Jo Andhere Mein Saath Chor Jaoun Ga
Jo Tum Nahi To Kya hai Zindagi
Jaisay koi Saza hai Zindagi

Tum Muskurao to lagta hai
Khubsoorti ki ik Adaa hai Zindagi

Tum jo Rootho to Mehsus hota hai
Jaisay Mujhsay khafaa hai Zindagi
Wohi izhar kafi tha
Tumhe ik din kaha tha jo
K tum se piyar karte hain
Wo lamha bhool q bethe
Wo jumla bhool q bethe
Abhi tajdeed mango ge
Meri belos chahat ki
Tumhe ek bar phir se who
Mohabbat na mile shayad
Ye jo tum Rooth bethe ho
Tumhari kam nighai hay
Tumhe gar piyar karna tha
Hamare sath chalna tha
Wo ek izhar sun lete
Wohi izhar kafi tha
Tumhe ek din kaha tha jo
K Tum se PYAAR karte hain

Na who farishta ho na farishtey jaisa ho
Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho

Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai
Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho

Meri khatir marney ka hosla bhi rkhta ho
Agar kabhi Rooth jaoon mein us sey to

Muskra key manayee, woh aisa ho
Jo baat karey to woh nibha bhi sakey

Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho
Dukhon mein hansney ka hunar janta ho

Ik aisa hamsafar jo samandar kitarah gahrah ho
Us key pyaar ki thandak ho merey liye aisi
Key woh to bilkul aasman key chand jaisa ho

Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho
Umar bhar saath chalney ka azam-e-wafa rakhta ho

Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko
Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho
Tum khafa Kiyon ho !
Tumhen mujh say gila kiya hai,
Achanak
bayrukhi itni,
Batao to howa kiya hai,
......Manaon kis tarah tum ko,
Mujhe itna to
bata do
Agar ab ho sake tum say
To yeh ahsan farma do
Meri Manzil Mohabat hai
Mujhe Manzil pe Pohncha do
Tumhari aankh Main aansu
Mujhe ache nahi lagte
Tumhare Narm honton pe
Gilay ache nahi lagte
Tumhare Muskurane say
Mera dil Muskurata hai
Tumhare Rooth jane se
Mera dil toot jata hai..
Nazar se nazar tum milane se pehle,

Zara soch lo dil lagane se pehle,

Zara uske dil mein bhi tum jhank lena,

Usey raaz dil ka batane se pehle,

Mein ye janta hun meri zindagi mein,

Koi gham na tha tere aane se pehle,

Boht roya hoga wo apni khata par,

Saza mujhko gha ki sunane se pehle,

KHUDA Rooth jata hai ye soch lena,

Kisi dil ko itna dukhane se pehle,

Kahin jal na jao khud is aag mein,

Kisi aur ka dil jalane se pehle.
Chehra Koi Bhi Aankh Mein Thehra Na Phir Kabhi,
Dil Ne Kisi Bhi Shakhs Ko Chaha Na Phir Kabh,
Rootha Zara Si Baat Pe Uth Kar Chala Gaya,
Aisa Gaya K Laut k Aaya Na Phir Kabhi,
Kuch Youn Mila Ikhlak Se k Bus Ishq Ho Gaya,
Wo Ajnabi Tha? Kon Tha? Socha Na Phir Kabhi..!!!
Rishtay jo pyar ke thay sabhi choot-tay gaye...

Bandhan bhi saaray zabt ke phir toot-tay gaye...

Khawab-o-khayal ban gayen yaaron ki mehfilen...

Ek ek kar ke yaar sabhi Rooth-tay gaye...

Sab dard dil main bhar liye sukh ki talash main...

Hamdard ban ke log hamain loot-tay gaye...

Milti rahin sazayen hamain pyar ke aiwaz...

Apni hi Khawahishon ka gala ghont-tay gaye...
kuch khud b thay afsurda say,,
kuch tum b hum say Rooth gaye,,
kuch khud hi zzakhm k aadi thay,,
kuch sheeshay hath say choot gaye,,
kuch khud b hassaas thay bohat,,
kuch apnay muqadar Rooth gaye,,
kuch tum ko sach say nafrat thi,,,
kuch hum say na bolay jhoot gaye,,
kuch logon nay uskaya tumain,,
kuch apnay muqadar phoot gaye,,
kuch khud itnay mohtaat na thay,,
kuch log b hum ko loot gaye,,
kuch talkh hakaik thay itnay,
k khaab hi saray toot gaye.........
Ek achha dost agar 100 baar Roothe to use 100 baar manao,
kyunki keemti motiyon ki maala jitni baar hbi toote
use pirona hi padta hai..