Phir SMS Messages1161 messages

bicher ker juda tou nahi ho gaye hum
kahin be-wafa tou nahi ho gaye hum

jo milna bhi chahain tou ab mil na payein
youn be-aitnaa tou nahi ho gaye hum

magar Phir bhi khilqat hamain poojti hai
agarcha khuda tou nahi ho gaye hum

kharay hain azal se sag-e-reh ki surat
kahin rehnuma tou nahi ho gaye hum

teri yaad aati hai fursat mein aksar
tere mubtila tou nahi ho gaye hum
guzishta raat uss k hont par ..

jab yeh sawal ubhra ..

muhabbat rutjagay kion maangti hai ?

kion sataati hai ?

to main dheeray say muskaya ..

aur uss k pass say uth kar ..


Phir apnay ghar chala aaya ..!!
Ab k Kerna Tou Kisi Aise Se Chahat Kerna

K Jis Ko Aata Nahi Ho Shikwa Shikayat Kerna

Teri Kam-Goi K Charchey Thay Zamane Bhar main

Kis Se Seekha Hai Tum Ne ye Baato''n ki Wazahat Kerna

Pehle Khusbhu K Mizajo''n Ko Parakh Lo Nadaan

Phir Gulestaan main Kisi Gul Se Mohabbat Kerna
log kehtey hein kabhi pyar na karna, kar lo to Phir izhar na karna, aur agar izhar b kar lo agar tum, to uss sey kabhi takrar na karna,tum khud hee ho mamar(mason)apni subho sham k, iss liye kabhi kissi ka intizar na karna
Agr wo poochh lein hum sey tumhein kis baat ka gham hai,
to Phir kis baat ka gham hai agr wo poochh lein hum se...
Meri Chahat Me Khot to Nahi Shamil,

Phir Kyun wo Baar Baar Azmaye Mujhe?

Dil Uski Yaad Se Ik Pal Bi Nahi Ghaafil,

Phir Kaise Mumkin Hai wo Bhool Jaye Mujhe?
Phir na ki jiye ga meri gustakh nigahon ka gila,
Dekhiye ap ne Phir pyar se dekha mujh ko...
Phir na ki jiye ga meri gustakh nigahon ka gila,
Dekhiye ap ne Phir pyar se dekha mujh ko...
Ankhein band kar k mein apni dhoond loon gha tujhe,

aur tassawur mein hee kabhi choom loon gha tujhe,

bas ik arz hai k mujhe bas pna bana le,

Phir chup rahoon gha na kuch kahoon gha tujhe
Badla jo Waqt, Gehri Rafaqat Badal Gai.

Suraj Dhala To Saaye ki Soorat Badal Gai.

Ik Umr Tak main Uski Zaroorat Bana raha.

Phir yun Hua k Uski Zaroorat Badal Gai..
khush rahe ya udaas rahe
zindagi tere aas pas rahe
chand in baadlio se niklega
koi aaye ga dil ko aas rahe
hum muhabat ke phool hai shayad
koi kanta bhi aas pass rahe
mere seene me is tarah bas ja
meri sanson me teri khushbu rahe
aaj hum sab ke saath bahut hase
aur Phir deir tak udaas rahe
vo log bohut Khush-qismat thay
jo ishq ko kaam samjhtay thay
yaa kaam say aashiqii kartay thay
ham jiitay ji masruuf rahay
kuch ishq kiya kuch kaam kiya

kaam ishq ke aa''ray aataa raha
aur ishq se kaam ulajhta raha
Phir aaKhir tang aakar hum nay
donon ko adhuuraa chhorr diya