Kuch iss adaa se aaj wo pehlu-nasheen rahe
jab tak hamaare paas rahe hum nahin rahe
imaan-e-kufr aur na duniya wa deen rahe
ae ishq shaadabaash ki tanha hameen rahe
ya rab kisi ke raaz-e-
Mohabbat ki Khair ho
dasht-e-junoon rahe na rahe aasteen rahe
jaa aur koi zabt ki duniya talaash kar
ae ishq hum to ab tere qaabil nahin rahe
mujh ko nahin qubool do aalam ki vusatein
qismat mein ku-e-yaar ki do gaz zameen rahe
dard-e-gum-e-firaaq ke ye sakht marhale
hairaan hoon main ki phir bhi tum itne haseen rahe
iss ishq ki talaafi-e-maafaat dekhna
rone ki hasratein hain jab aansu nahin rahe.