Maazi SMS Messages24 messages

Unse Haal-E-Dil Kahoon Na Kahoon
Hai Bahut Mushkil Kahoon Na Kahoon

Jo Mere Waqt-E-Dafan Roya Hai Zar-Zar
Wahi Hai Mera Kaatil Kahon Na Kahon

Poochon Na Poochon Tera Maazi Gard-E-Dasht
Tujhse Tera Mustaqbil Kahoon Na Kahoon

Tere Khilaaf Kya Hai Saajish-E-Toofaan
Tujhse Ae Yara ! Kahoon Na Kahoon
Mere be-rabt khayalat me kya rakha hai!

Main to pagal hon, meri baat me kya rakha hai!

Baandh rakha hai teri yaad ne Maazi se mujhe!

Werna guzray huwe lamhat mein kya rakha hai!

Tu jo mil paye to aur khuda se kya maangu!

Tu alag ho to meri zaat me kya rakha hai.
Beetay rishtay talaash kerti hay..

Khushboo ghunchay talaash kerti hay..

Jab guzarti hay is gali say sabaa..

Khat k purzay talaash kerti hay..

Apnay Maazi ki justujoo may bahaar..

Peelay sapnay talaash kerti hay..

Aik umeed baar baar aa ker..

Apnay tukrray talaash kerti hay..!
main chahata bhi yahi tha wo bewafa nikalay
usay samajhnay ka koi to silsila nikalay

kitab-e-Maazi ke auraaq ulat kay dekh zara
na jaanay kaun sa safah mura hua nikalay

jo dekhanay main bahut hi qareb lagata hai
usi kay baray main socho to fasala nikalay
Mere Be-rabt Khayalat Main Kia Rakha Hai?

Main Tou Pagal Hon Meri Baat Main Kia Rakha Hai?

Baandh Rkha Hai Tumhari Yaad Ne Maazi Se Mujhy

Werna Guzry Huey Lamhat Main Kia Rakha Hai?

Tum Miley Ho Tou Ehsaas Hua Hai Mujhy

Tum Alag Ho Tou Meri Zaat Main Kia Rakha Hai?
Apni aankhon ke samandar mein utar “JANE DE”,
Tera mujrim hon mujhe doob ke mar “JANE DE”,
Aye naye dost mein samjhon ga tujhe bhi apna,
Pehlay Maazi ka koi zakham to bhar “JANE DE”,
Aag Duniya ki lagai bujh jae gi,
Koi aansoo mere daman pe bikhar “JANE DE”,
Zakham kitnay teri chahat se mile han mujh ko,
Sochta ho ke kahon tujh se magar “JANE DE”

Na Fikar-e-Farda

Na Yaad-e-Maazi

Na Chain Dil Ko

Na Be-qarari

Na Hadh Sy Guzra Hua
Junoon Wo

Bas Ek Udaasi Hy
Dheemi Dheemi

Bas Ek Khamoshi Y
Ba-qarari

Jo Zindagi K
Adhoray-pan Ko

Hadho''n Sy Aagey
Barha Rahi Hy

Shayad Teri Yaad Aa
Rahi Hy

Haan !

Teri Yaad Aa Rahi Hy
Apni Beeti Hui Rangeen Jawani Dega,
Mujh Ko Tasveer Bi Dega To Purani Dega.

Aadatein Milti Hein Sooraj Se Bohat Kuch Uski,
Waqt-e-Rukhsat Bi Wo Ik Sham Suhani Dega.

Mere Maathe Ki Lakeeron Mein Izafa Ker K,
Wo Bi Maazi Ki Tarha Apni Nishani Dega.

Barf Hojayega Jab Mere Lahu Ka Dariya,
Tab Kahin Ja K Wo Mojon Ko Rawani Dega.

Maine Ye Soch K Boye Nahi Khuwabon K Darakht,
Kon Jangal Mein Lage Pair Ko Pani Dega..? O_o
"DECEMBER JAB BHi AATA HAi"

wo pagli phir se
beetay mosam ko,
yad krti he

poraNe cards parhti hai,
k jis maiN oss Ne likha tha,
MAiN LOTOON GA DECEMBER MEiN

Naye kaprey baNati hai,

wo sara ghar sajati hai,
DECEMBER k har aik diN ko,
wo giN giN ker bitati he.

jooN hi 15 gozarti hai,

wo kch kch toot jati hy,

magar phir b,
poraNi albums ko khol ker,
Maazi ko bolati he.

Nahi maloom ye oss ko,
K beete waqt ki khoshiyaaN,
bohot takleef deti haiN!
mehiz dil ko jalati haiN.

yooN hi diN beet jate haiN!
DECEMBER lot jata he.

magr wo khosh feham larki,
dobara se caleNdar maiN,
DECEMBER k mahiNe k safey ko
mor ker

phir se
DECEMBER k sehar maiN dob jati he!

k akhir os Ne likha tha,

"MAiN LOTOON GA DECEMBER MAiN"
kiya tu b kisi aur ki ho jaey gi?

wohi din lot aaey hen

jo Maazi me bitaaey thy..

mere pehlu me jb usny

muhabt se bhry ngmy sunaey thy..

bahaarain phir se aai hen,.

sji hen chaandni raatain..

nhi ab torrni qsmen,,

tumhara muntazir hy dil

mujhy phir pochna hy tum se

mera saath do gi tum....?

mujhy maaloom hy

kaho gi tum kia

mgr phir b.....

kia wohi taareekh phir se dohraegi?

kia tu b kisi aur ki ho jaey gi...
kuch khwab khwab reh jaate hai kuch sapne adhure reh jaate hai chahat ka wada wafa ki kasmein kagaz pe chand tehrerein reh jaati hai tujhse milna tujhe paane ki aarzoo kuch khwahishein hasratein reh jaati hai tere saath bita waqt tere sang guzre lamhe Maazi k faqt yaadein reh jaati hai.
Naya Qaumi Tarana


Mush Sar Zameen Shaad Baad
Kishwar-e-Haseen Shaad Baad
Tu Nishan-e-Corruption Aalishaan
Arz-e-Mushistaan
Shaad Baad Opposition Barbaad
Mush Sar Zameen Ka Nizam
Aatay Gas Bijli Ka Burhaan
Qaum Mulk Saltanat
Chaudry Paindabad, Shaukat Aziz Mulk Se Farar
Parcham-e-Sitara-o-Hilal
Khoon Main Runga Sara Saal
Bhool Apna Maazi
Shaan-e-Haal
Jaane-Istaqlal
Saya-e-Bomber Sar Par Sawar . . . ! !