Maan SMS Messages455 messages

mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyaar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma k sitaro ki tarah hamare arMaan bhi bikhrte rehte hai,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta
USNE CHAHA BHI THO IZHAAR NA KARNA AAYA ,
KAT GAYI UMAR HAME PYAR NA KARNA AAYA ,
USNE MaanGA BHE AGAR KUCH TO JUDAAI MaanGI "
AUR HAM THE KE HAME INKAAR NA KARNA AAYA...
Yeh pal pal ka chalna,
fasila khatam na karega,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe woh kal na milega!
Yeh koi gaata hai,
ya namaaz padta hai,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe alag khuda na milega!

Yeh guzarti huwi raat hai,
ya nikalti huwi sehar,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe humsafar na milega!
Yeh Baarish ki boondein hain,
ya aankhon ke aansoon,
Tum kitna bhi chaho,
inhe thaamne wala na milega!

Yeh dil ke tukde hain,
ya aap ki yaadein,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe marham na milega!

Yeh dil mein arMaan hain,
ya sulagte huwe sholey,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe sehra mein paani na milega!
yeh kaisi uljhan ban gayi hai
dil ki dhadkan,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe sukoon na milega!
Faasle Bahut Hain,Par Itna Maan Lijiye,Karib Rahkar Bhi Har Koi Khaas Nahin Hota,Aap Khayalon Me Itne Karib Hain Ki Faaslon Ka Ehsaas Hi Nahin Hota
Ek chahat, ek arMaan, ek aas ho tum
Baaton mein meri chhipa ek ehsaas ho tum
Jismein hai bheegne ki khwaish woh barsaat ho tum
Dil mein basa hai jo, roz jo dekhti hun main, woh khwaab ho tum...
kabhi wo hum pe jaan dia karti thi
jo kehtay they wo Maan lia karti thi

kal anjaan ban kar paas se guzar gai
Woh jo door se pehchaan lia karte thi…
ae khuda agar teri kalam mein dum hai to ye farMaan likh de,
har gum door ho mere dost ka,
har khushi uske naam likh de,
us khushi ko dene ke liye agar kisi ki maut chahiye,
to us maut par mera naam likh de....
Rakhay khuda nay do rastay mujhay azmanay k liye
Woh chor day mujh ya mein chor doon usay zamanay k liye
Kaisay Maang loon rub say usay bhool janay ki dua
Hath uthtay nahi hain dua mein usay bhool janay k liye
Nahi ki zindagi mein meinay koi bhi neki
Par parhi hain chhup k kuch namazein usay panay k liye
Nahi hai tu na sahi who qismat mein meri
Par aik mauqa to day usay ay RAb yeh aansu dikhanay k liye
Pyar kise kehte hai yeh hum nahi jaante....
Is zindigi ko ab hum apna nahi Maante....
Gam itne mile hai ki ab ahsaas nahi hota.....
karega koi pyar to ab aitbaar nahi hoga....
Zameen par hai magar aasman jaisi hai
Woh narm narm see larki chattan jaisi hai
Meray haroof bhi jhootay hain meray jazbay bhi
Meri kahani bhi saray jahan jaisi hai
Yeh shaam mil k bicharnay ka ista-ara hai
Yeh raat hijar k kalay nishaan jaisi hai
Hawaein roz bhujaati hain khuwahishon k diye
Yeh zindagi bhi andheray makan jaisi hai
Mein apnay sath hoon ya koi dosra hai ZIA
Yaqeen ki yeh ghari bhi guMaan jaisi hai
Zara dhehaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Wafa ka Maan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Kahan es umer main hum bhes badlain gain faqeron ka
Milan asaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Judai k dino main loog chehray bhool jatay hain
Meri pehchaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
meri baat kaysay wo Maanta
mera dard kaysay wo jaanta
wo tu khud fana kai safer main tha
usay rokna bhi muhaal tha
usay apnai Farda ki fiker thi
wo jo mera waqif-e-haal tha
wo jo us ki subha-e-urooj thi
wohi mera waqt-e-zawaal tha
wo mila jo sadyoun baad bhi
tu merai lab pa gilaa na tha
usay meri chup nai rula diya
jisay guftugoo pa kamaal tha!!
wo tu mujh sai mil k tha ro diyaa
faqat itna hi mujhai keh saka
jisay Maanta tha main zindagi
wo tu sirf wehm-o-khayal tha..!!!