Laut SMS Messages85 messages

Dunya ka Sb se Acha Gift WaQt hota ha
Q'k
Agr Ap kisi ko Apna WaQt DetE ho
tO
Ap Usay Apni LifE ka wo paL DetE ho,
Jo kbi Laut kr Nhi Aata
apne haatho se u chehre ko chupate q ho,
mujh se sharmate ho tou saamne atay q ho…

tum kabhi mere tarha kar bhi lo ikraar-e-wafa,
pyar karte ho tou phir pyar chupate q ho…

ashq aankho mei mere dekh k rote q ho,
dil bhar aata hai to phir dil ko dukhate q ho…

in se vaabasta hai jab mera muqadar phir tum,
mere shano se ye zulf hatatay q ho…

roz mar mar k mujhe jeenay ko kehte q ho,
milne aatay ho to phir Laut k jatay q ho…

apne haatho se u chehre ko chupate q ho,
mujh se sharmate ho tou saamne atay q ho…


Bat sajdoon ki nahi khaloos-e-niyat ki hoti hy IQBAL Aksar log khali hath Laut atey hain her NAMAZ k baad
Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar tha

Woh Laut kar na aaya magar intezaar tha


Jo humsafar tha chorr gaya raah main mujhe

Main phans gayi bhanwar main woh darya ke paar tha


Manzil qareeb aayi to tum door hogaye

Itna to tum batao ke yeh kaisa Pyaar tha


Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan

Na woh sakoon se betha na mujh ko qaraar tha


Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka

Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha


Yeh baat umer bhar samjh na paayi main

Kyun Dil mera us ka talabgaar tha
Beet Gaye Sare Mahine Saal Ke,
Ab Phir Laut Aya Hain December,

Mere Gamo ka mausam Jata Nahi,
Ya Allah Kuch Mujh Par Karam Kar,

Jab bhi uski yaad ati hain Mujhko,
Nahi So Pata Hun Ek Karwat Par,

Ab tu Sardi bhi nahi lagti december main,
Nahi Rakhta main ek bhi Kapda Badan Par,

Allah tu Lauta de phir se wo mahine aur sardiyan,
Ya phir ye Sara Mamla hi Khatam Kar,
Main Lauton ga December main


December Jab bhi ata hai
wo pagli...
phir se beety mosumo'n ki
talkhion ko
yad karti ha
purana card perhti hai
k jis main os ne
likha tha
Main Lauton ga December main


Nai Kapry bnati hai
wo sara ghar sjati hai
December k her ik din ko
wo gin gin ker bit'tati hai
junhi 15 guzarti hai
wo kuch kuch toot jati hai
magar phir bi
purani albumo'n ko khol ker
mazi bulati hai !!!
nahi maloom ye osko
k beety waqt ki khushian
Bohat takleef deti hain
mehaz dil ko jalati hain...
yunhi din beet jaty hain
December Laut jata hai
magar wo Khush feham larki...
dobara se calendar main
December k maheeny k safhy ko
mord ker, phir se
Phir se
December ke sahar main
Doob jati hai
k akhir os ne likha tha....

Main Lauton ga December main
Lot aaye...


Usey kehna December aa gaya hai..
December k guzartay hi..
Baras ek aur mazi ki ghupa mein doob jaaye ga..
Usey kehna December Laut aaye ga..
Magar jo khoon so jaayega jismon mein na jaaye ga..
Usey kehna hawayen sard hain..
Aur zindagi k kohray deewaroN main larzaan hain..
Usey kehna shagoofay tehniyon mein so rahay hain..
Aur un par barf ki chadar bichi hai..
Usey kehna agar sooraj na niklay ga..
To kaisay barf pighlay gi...
Usey kehna..
KI...
Lot Aaye...!
Bat sajdoon ki nahi khaloos-e-niyat ki hoti hy IQBAL Aksar log khali hath Laut atey hain her NAMAZ k baad
Wo Bulayen To Kya Tamasha Ho
Ham Na Jayen To Kya Tamasha Ho

Ye Kinaron Se Khelne Wale
Dub Jayen To Kya Tamasha Ho

Bandaparwar Jo Ham Pe Guzri Hai
Ham Batayen To Kya Tamasha Ho

Aj Ham Bhi Teri Wafaon Par
Muskurayen To Kya Tamasha Ho

Teri Surat Jo Ittefaq Se Ham
Bhul Jayen To Kya Tamasha Ho

Waqt Ki Chand Satein ‘Sagar’
Laut Ayen To Kya Tamasha Ho.
Chehra Koi Bhi Aankh Mein Thehra Na Phir Kabhi,
Dil Ne Kisi Bhi Shakhs Ko Chaha Na Phir Kabh,
Rootha Zara Si Baat Pe Uth Kar Chala Gaya,
Aisa Gaya K Laut k Aaya Na Phir Kabhi,
Kuch Youn Mila Ikhlak Se k Bus Ishq Ho Gaya,
Wo Ajnabi Tha? Kon Tha? Socha Na Phir Kabhi..!!!
Ek Kasak Jo Lafzo''nKi
Aagosh Me Sisak Rahi Thi

Ek Dua Jo Duur Arsh
Pe Bhatak Rahi Thi

Wo Dua Jo Tuutey Dil
Sy Nikal Rhi Thi

Wo Dua Jo 2 Labo''n
Pe Machal Rahi Thi

Kaash !

Ek Shaam Wo Laut Aaye

Ya Kaash !
Wo Shaam Laut Aaye

Is Dil Ne Bohat Usay
Chaha Tha

Hum Ne Rab Sy Bas
Usy Hi Maanga Tha

Pr Meri Dua Tou Kahin
Arsh Pe Hi Kho Gai

Aur Phr Taqdeer b
Andhera Aurh k So Gai

Aur Phir Zabt Ka Daaman
Hum Sy Chooth Gaya

Ek Tuuta Hua Dil
Aur Bhi Tuut Gaya ...
Mat karao intjar hame itna ki waqt ke faisle pe afsos ho jaye,
kya pata tum kal Laut ke aao,
or hum hamesha ke liye khamosh ho jaye.