Khush SMS Messages904 messages

Har Ek Sawal Ka Usko Jawab Kya Deti?
Main Apni Zaat Ka Usko Hisab Kya Deti?
Jo Ek Lafz Ki Khushbu Na Rakh Saka Mehfooz!
Mai Us Ke Hath Mein Puri Kitab Kya Deti?
abr-e-bahaar ne
phuul kaa cheharaa
apane banafshii haath me.n lekar
aise chuumaa
phuul ke saare dukh
Khushbuu ban kar bah nikale hai.n
Kabi chahton mein chupa liya
Kabi Nafraton mein jala diya
kabi huns k hum ko mana liya
Kabi Ansoun mein baha diya
Yea zindagi b ajeeb hai
kabi Khushboo ban ker Bikher gai
Kabi Lumha bher mein guzer gai
kabi Jugnu ban ker Chamak uthi
Kabi Mil k Phir say bichar gai
Chand lahmhein Mere Sath Bita K
Meri Ankhon ko Ek Sapna Dekha K

Rangeen Wadion Mein Ab Kho Gey Ho
Mere Dil Mein Tum Aas Laga k

Tumhein Dohndta Hon Har Pal
Sarey Jhaan Ko Mein Bhola K

Ji Na Pao Gey Tum Bhi Kabhi
Meri Yadoon Ko Dil Se Mita K

Khushiya Mana Rhey Ho Ab Tum
Mere Sapnoon Ka Ashyana Jala K
yeh mausam sabz patoon ka

sunahri dhoop kirnoon ka

hamien kab raas aaya hai

hamari zard aankhoon ne banjar khwab hi dekhey

keh apni khwab aalood hasti main

aatab alood basti main

koi Khushboo na aanchal hai

koi jhonka na badal hai
[b]Na Pocho Dard Mando Say Hansi Kesi Khushi Kesi
Museebat Sar Par Rehti Hai Kabhi Kesi Kabhi Kesi
zakhm pe zakhm kha k sambhalna achcha lagta hai,

Hum ko tumhara dheerey dheerey chalna achcha lagta hai,


kya karein k ab khud sey b majboor hein,


warna hamein GF badalna achcha lagta hai,


mereee iss hassi k peechey na pooch kya,


Merey ansoun ko Khushi mein dalna achcha lagta hai
Agar Safar main Hamara bhi hamsafar hota,
Bari Khushi se in hi Pattharon pe So letay...
Lekar hum doosron ki hansi kya karein,
Jo nahi apni woh Khushi kya karein.
Tanha jine se behtar hai mar jayein hum,
Jab ssth nahi tu to zindagi jikar kya karein......
Khush rahe ya udaas rahe
zindagi tere aas pas rahe
chand in baadlio se niklega
koi aaye ga dil ko aas rahe
hum muhabat ke phool hai shayad
koi kanta bhi aas pass rahe
mere seene me is tarah bas ja
meri sanson me teri Khushbu rahe
aaj hum sab ke saath bahut hase
aur phir deir tak udaas rahe
Beetay rishtay talaash kerti hay..

Khushboo ghunchay talaash kerti hay..

Jab guzarti hay is gali say sabaa..

Khat k purzay talaash kerti hay..

Apnay maazi ki justujoo may bahaar..

Peelay sapnay talaash kerti hay..

Aik umeed baar baar aa ker..

Apnay tukrray talaash kerti hay..!
vo log bohut Khush-qismat thay
jo ishq ko kaam samjhtay thay
yaa kaam say aashiqii kartay thay
ham jiitay ji masruuf rahay
kuch ishq kiya kuch kaam kiya

kaam ishq ke aa''ray aataa raha
aur ishq se kaam ulajhta raha
phir aaKhir tang aakar hum nay
donon ko adhuuraa chhorr diya