abr-e-bahaar ne

abr-e-bahaar ne
abr-e-bahaar ne
phuul kaa cheharaa
apane banafshii haath me.n lekar
aise chuumaa
phuul ke saare dukh
Khushbuu ban kar bah nikale hai.n
  

Jun, 02 2010     139 chars (1 sms)     3097 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aaj bhe waisa hi mousam hai

aaj bhe waisy he badal hain

aaj bhe waisi hi barish hai

jub hum pehli baar milay thy

yaad hai,humne ye socha tha

humko milty dekh kr mousam

itna khush hai,itna khush k

es ki aankhain bheeg gae hain

magr aaj ye jaan gaey hain

k

mousam us din keun roya tha....
Na.. Chaho Kisi Ko Itna Ki,
Chahat Tumhari Majburi Ban Jaye
Chaho.. Kisi Ko Itna,
Tumhara Pyaar Uske Liya
Zaruri Ban Jaye..
Hum nazroon sy dor hain ankhon sy nahi.hum khabon sy dor hain khyalon sy nahi.hum dil sy dor hain dharknon sy nahi.hum ap sy dor hain ap ke yadon sy ni.
Dil ki chokhat pe jo deya jala rakha hai,

Tere anay ka imkan saja rakha hai.

Ruth jati ho to kuch or hasen lagti ho,

Hum ne ye soch k hi tumko aapna bana rakha hai
... Kaisa Ho ...


Teri Zulfai''n Bikherny
Ko Ghata Keh Doon Tou
Kaisa Ho

Tere Aanchal K Urney
Ko Saba Keh Doon Tou
Kaisa Ho

Bazahir Chup Ho Lekin
Phir Bhi Aankho''n Main
Hyn Afsaaney

Teri Khamoshio''n Ko
Bhi Sada Keh Doon Tou
Kaisa Ho

Mere Shikwe Shikayat
Par Bhi Mujh Sy Pyar
Krti Ho


Teri Chahat Ko Main Sab
Sy Juda Keh Doon Tou
Kaisa Ho

Teri Yaadai''n Mere Dil
Par Ajab Shor Kerti
hyn

Teri Yaado''n Ko Agar Main
Ek Nasha Keh Doon Tou
Kaisa Ho ...
A khuda mujhpar 1ehsan krde,Unke Dil k pure sab arman krde,Unki khushi k liye agar kisi ki Zindgi chahiye to der na kar mujhe bejaan krde...
Ishq karnay kay bhi kuch aadab hotay hain
Khule ankhoun main bhi kuch khuab hotay hain
Har koi roo kay dekhai yeh zarori to nahi
Khushk ankhoun main bhi selaab hotay hain...
Mohabbat ub nahi hogi ye kuch din baad main hogi
Guzar jain gay jub ye din to inki yaad main hogi
Chahye Hue Thay Badal Lakin Berse Nahi
Dard Bohat Tha Dil Mein Par Hum roye Nahi
Koi Na Hamara Jo Humse Poche Ke
Jag Rahe Ho Kisi K Liye Ya Kisi Ke Liye Soye Nahi
Rishta hamara is jahan mein sabse pyara ho,

jaise zindagi ko sanso ka sahara ho.

Yaad karna hamein us pal mein,

jab tum akele ho or koi na tumhara ho
Kuch khawab hain jin ko likhna hai..

Taabeer ki sorat daini hai..

Kuch loug hain ujray dil walay..

Jinhain apni mohabbat daini hai..

Kuch phool hain jin ko chunna hai..

Aur haar ki sorat daini hai..

Kuch apni neend baki hai..

Jisay bantna hai kuch lougon mein..

Un ko bhi rahat daini hai..

Aye umer-e-rawaan ahista chal..

Abhi khasa karz chukaana hai..!
Apno se juda ho kar, kaun zinda rahta hai,
Sanse chalti hain magar dil,
Hamesha zindagi se khafa rahta hai,
Jo dil mein ho wo dost,
Durr ho kar bhi kareeb hote hain,
Mere yaar insaan umeedon par hi zinda rahta hai.