Zindagi guzar gayi Dil ko samjhaane mein....
Pyaar ke un kisso ko bhulaane mein....
Samajh baithe the jisse zindagi apni....
Woh shaamil thi meri barbaadi kaa jashn manaane
Aao Chale''n
Tanhaio''n k Safar Py
Hum
Jahan Manzile''n Hyn
Na Rasty
Duria''n Hyn Na Faasly
Jahan Koi bBe-wafa Nhi
Jahan Dard-o-Gham
Jata Nhi
Jahan Pyar Hy Na
Qasam Koi
Iqrar Hy na Bharam Koi
Jahan "DIL" Koi Jalta Nhi
Be-Maut Koi Marta Nahi
Aao Chalo Mere Saath Tum
Mere Humsafar
Mere Khwab Tum
Aao Chalo Mere Saath Tum
Jane kya mujhse zamana chahta hai,
mere dil ko tod kar muskarana chahta hai,
jane kya baat jhalkti hai mere chehre se,
k har shks mujhe aazmana chahta hai
Zindagee ki raahon main
Ek lamha lagta hai
dil kisee pay anay main
mujh ko bhi mila tha woh
jis ko dekhtay hi dil
betahasha dharka tha
mujh se keh raha tha woh
tum se pyar hai mujh ko
muskura kay main nay bhi
phool le lia us say
haath haath main le kar
pyar kay ata karda aasman pay hum dono
chahtay thay saath urna
aasman pay jeevan bhar koi urr saka hai kia ?
haath haath se choota
Ek sitara jo toota
tab khabar hui mujh ko
Ek lamha lagta hai
dil kay toot janay main
aur Umar lagti hai
kirchian uthanay main