Kaha SMS Messages1166 messages

yehi wafa ka sila hy to koi bat nhi.
ye dard tum ne dia hy to koi bat nhi.
itna boht hy k tum dekhte ho sahil se.
safina dob raha hy to koi bat nhi.
kisi ki majal jo mujh ko kahe bewafa.
agr ye tum ne Kaha hy to koi bat nahi.
ye mery bs me Kahan k tujh ko bhul skon.
tu mujh ko bhul chuka hy tu koi bat nahi.
Tum Kahty Ho

Main Tumahra Jeewaan Hoon

Tumhari Baat Bajja Hai

Lakin Sajna

Itna Bata Doo

Tumhare Jeewan Main

Main Kahan Hoon??
wo nahi mera mager us se MUHABBAT HE TO HAI
yeh agar rasmo riwajon se bagawat he to hai

sach ko maine sach Kaha jab keh diya to keh diya
ab zamaney ki nazarar maein ye himaakat he to hai

dost ban kar dushmano sa wo satata hai mujhe
phir bhi us pathar dil pe marna apni fitrat he to hai

kab Kaha mainey k wo mil jaye mujhko
uski bahon mein dum nikle ithni hasrat he to hai
SanG DiL hY Wo To Q Us ka Gila maine kia


jb k khud Pathar ko butt'' Butt ko Khuda maine kia

Kaise Namanoos Lafzoo ki Kahani Tha Wo Shakhs

Us ko kitni mshkilo Se Tarjma maine kia
Ya jo shafaf sa ik aks us jheel me tha

Koi chehra tha magar chand ki tamseel me tha

Yaad karta hon Kahan bhool k aya hon usay

Aisa he aks meri soch ki zambeel me tha

Baat kya thi ye mujhe achi tarha yaad nahi

Haan tera zikr b tha aur bari tafseel me tha

Koi pegham tha ankhon me, so ankhon me raha

Masla asal to pegham ki tarseel me tha

Is naye nusKhy me tehreef hui hai warna Darwaish

Zikr mera b kahin pyar ki InJeel mein tha.../
Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay

Main Nay Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay

Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana

Aisay Main Kahan Jao Gay Bersaath Bohot Hay
Us nay mujh say Kaha
meray saathi!
tum ko mujh say jo hay gila ....kiya hay?
kabhi fursat milay tu socho,
manzilain kion hain? fasla iya hay?
apnay apnay safar pay niklay log
mushtarka raston pay chaltay hain
hamrahi kay hisar main jitnay
din nikaltay, chiraagh jaltay hain
apni apni umeed kay dar-o-baam
zindagi kay safar main miltay hain
mutaqil dard, aarzi aram

tum meray hamsafar tu ho lekin
hum kahin say bichar bhi saktay hain
dair tak aik taweel rastay par
saath tu ajnabi bhi chaltay hain!!!!!!!
Iqrar mein Kahan hy Inkar ki si khoobi ...

K barhta hy shauq-e-Ghalib un ki nahi nahi sy ..
Koi Baat Esi Kiya Karo,Koi Lafz Esa Kaha Karo
Mile Jis Se Dil Ko Qaraar Sa,Koi Shair Esa Padha Karo
Wo sunta to main kehta,mujhe kuch aur kehna tha,
wo pal bhar ko jo ruk jata,mujhe kuch aur kehna tha.
kamai zindagi bhar ki,usi k naam to kar di,
mujhe kuch aur karna tha,mujhe kuch aur kehna tha.
Kahan us ne suni meri,suni b un-suni kar di,
usay maloom tha itna,mujhe kuch aur kehna tha.
meray dil main jo dar aya,koi mujh main b dar aya,
waheen ik rabta toota,mujhe kuch aur kehna tha.
rawan tha piyar NUS NUS main,bohat qurbat thi apis main,
usay kuch aur sun-ana tha,mujhe kuch aur kehna tha.
ghalat fehmi ne baton ko barha dala younhi warna,
Kaha kuch tha,wo kuch samjha,mujhe kuch aur kehna tha.
buhat mushkil hai terey dil pey apney dil k dard ki Kahani likhna...

bilkul aisey hi jaisey behtey huwey paani pey''PANI"likhna.
Us ki Chahat ka Sila Yaad nahi,
Yaad ha Jurm, Saza Yaad nahi
Toor kar hamsafari ka Rishta,
Wo Kahan Choor Gae Yaad nahi,
Apnay girnay ka Sabab Yaad to hay,
Kiss Bilandi se gira Yaad nahi,
Yaad ha us ka Bicharna hum ko,
Phir Hamen jo bhi Mila Yaad nahi.