Kaash SMS Messages83 messages

Mena da dilbar che me khyaluno k razi

Da naz khanda khabare me yaduno k razi

Kaash che kala kala me pa wekha hum ledaly

Da senga che ASHNA rata khobuno k razi.
Kaash tum apne wade nibha jatay..

Kisi tarha mera dil behlla jate...

20 Rs nahi thay tu...

10 Rs wali choti coke hi pila jatay....
Kaash koi hum par bhi pyar jatata,
Hamari aankhon ko apne haathon se chhupata.Hum jab poochte kaun ho tum?
Muskura kar woh apne aapko hamari jaan batata.
Aey Kaash
woh phool si muskurahat merey liye hoti
woh masoom shararat merey liye hoti

main us zulf ki chaaon main soo jaata
woh kaali raat merey liye hoti

raat bhar woh ghomaati apna kangan
woh bechayni woh betaabi merey liye hoti

woh ek taara tha khuley aasmaan main
aey Kaash woh roshni merey liye hoti

merey wujood main bhi zindagi ka suraagh milta
jo woh munawar nazar merey liye hoti

rishtaa kuch to ban jaata apna bhi
mohabbat nahi na sahi,nafrat merey liye hoti
Kaash Koi Samjha Daita ...


Guftugo Ke Lamhon Main
Dekh He Nahi Paatay
Ham Tumharay Chehray Ko
Tum Hamari Aankhon Ko
Aaj Aisa Kartay Hain
Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain
Baat Chor Datay Hain


Jaane Kiya Lamha Hoga
Jab Ye Hath Hathon Say
Gar Kabhi Juda Hoga
Aaj Aisa Kartay Hain
Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain
Hath Chor Datay Hain


Kash Koi Samjha Day
Loag Kis Tarah Dil Ki
Manzilain Alag Kar Kay
Saath Chor Datay Hain
Aaj Aisa Kartay Hain
Bey-sabab Bikhartay Hain
Zaat Taur Datay Hain...
Iss jahan mein mohabbat Kaash na hoti
Toh safar-e-zindagi mein mithaas na hoti
Agar milti BEWAFA ko sazaaye maut
Toh deewano ki kabre yun udhas na hoti
Khuda ne Kaash mohabbat banaayi na hoti
toh aaj iss tarah hamare pyar ki rusvaayi na hoti
Kaash unke dil mein zara si wafa hoti
toh iss tarah mere saath bewafaayi na hoti
bhool gaya hai yeh dil .. khushiyon ke mehfil sajaana..
jaise bhool gaye hai hum ke.. ek waada tha nibhaana..
ek waada dosti ka.. ek waada bandagi ka.. ek waada zindagi ka ....
Kaash woh karde hamaari is khata - e - muhabbat ko....
yaa phir jal jaaye hum is bewafa dil ke angaaron mein ....
Kaash yeh tanhaayiya nahin laati yaadein un ki....
tho na likhte hum unke yaadon mein .....
na is dil mein un ke liye pyaar hota ...
na hamein yeh shab-e-gham ka intzaar hota .......
ay Kaash kabi esa hota
tujh ko sirf mujh se piyar hota
kismat ka ye shahkar hota
waqt humara gulam hota
teri aankhon main halkore khata hua
wo aks sirf mera hota
duniya ka na phir koi dar hota
dushman na koi humare beech hota
ye zamana humara meet hota
mere labon pa tera geet hoya
main mar b jaoon to kiya hota
tu zinda hota mera piyar zinda hota......
Roz kisika intezaar hota he,
roz ye dilbekarar hota he,
Kaash ke koi samaj pata,
ki chup rehne walo ko bhi kisise behat pyar hota hai........
Kash mein ek shaayar hota,
Kaash yeh dil ki baat kehpaata,

Labon tak aake ek baat ruk gayeethi,
zindgiki yeh daastan waheen tham gayeethi,

Kaash who mere dilke ashk sun pateee,
Kaash mein ek shayar hota.
Main Umr K Rastey Mein Chup Chaap Bikhar Jaataa
Ek Din Bhi Agar Apni Tanhaaii Se Dar Jaataa

Main Tark E Ta“alluq Par Zinda Huun So Mujrim Huun
Kaash Uss K Leye Jiitaa, Apney Leye Mar Jaataa

Uss Raat Koii Khushbu Qurbat Mein Naheen Jaagi
Main Varnaa Sanvar Jaataa,Aur Voh Bhi Nikhar Jaataa

Uss Jaan-E-Takallum Ko Tum Mujh Se Tou Milvatey
Taskheer Na Kar Paataa, Hairaan Tou Kar Jaataa

Kal Saamney Manzil Thii, Peechhey Meri Aavaazain
Chaltaa Tou Bichhar Jaataa,Ruktaa Tou Safar Jaataa

MaiN Shehr Ki Rounaq Mein, Gum Ho K Bohot Khush Thaa
Ik Shaam Bachaa Laitaa, Ik Roz Tou Ghhar Jaataa

Mehroom Fazaaoun Mein,Mayuus Nazaron Mein
Tum AZM Naheen Tehrey, Main Kaise Tehar Jaataa