Khuda ne kaash mohabbat banaayi na hoti
toh aaj iss tarah hamare pyar ki rusvaayi na hoti
kaash unke dil mein zara si wafa hoti
toh iss tarah mere saath bewafaayi na hoti
Tumhe apni yaadon se mitaya na ja saka,
ujari hui zindagi ko basaya na ja saka.
yun to hoti hai roz mulakat zindagi,
Per meri jaan ko Mujhse churaya na ja saka.
Din bhar soch mein doobon raaton ko chain nahin
Kaise keh doon dil mein ab koi nahin
Door tu hai par mohabbat tere liye kam nahin
Duniya kya samjhe bewafaa tu hai hum nahin