Kaash tum apne

Kaash tum apne
Kaash tum apne wade nibha jatay..

Kisi tarha mera dil behlla jate...

20 Rs nahi thay tu...

10 Rs wali choti coke hi pila jatay....
  

Jun, 07 2010     140 chars (1 sms)     2447 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

''Faraz'' ab koi sauda koi junoon bhi nahin
magar qaraar se din kat rahe hon yuun bhii nahin


lab-o-dahan bhi mila guftaguu ka fan bhi mila
magar jo dil pe guzarati hai,, keh sakoon bhi nahin


merii zubaan ki luknat se bad_gumaan na ho
jo tu kahe to tujhe umar bhar miloon bhi nahin


''Faraz'' jaise koi diya turbat-e-havaa chaahe hai
tuu paas aaye to mumkin hai main rahoon bhi nahin !!!
Tere qarib aa k bari uljhano me hu

me dushmnoo my hu k tere dosto me hu?

Badla na mere bad b mouzu-e-guftago

Me ja chuka hu phr b tri mehfilo me hu,

Mjse bichar k tu b roega umr bhr''

ye soch le k me b tri khwhisho me hu''

Tu hans raha he mjpe mra hal dkh kr!

0r phr b me sharik tere ghamon me hu...
Ye Tabbasum,
Ye Taazgi,
Ye Nikhar,
Zindagi Ki Se
Baat Ker k Chali
Aai Hy !!

Un k Honto''n Pe
Tabbasum Ka
Ye Halka Sa
Khumaar
Jese Gulshan Mein
Dabe Paao''n Bahar
Chali Aai Hy
Kabi na shikayt ki baat labon pe layenge,

kaha hai Dost to Dosti nibhayge.

kabhi hamari burai hamare samne karna,

kasam khuda ki hum bi apki han me han milayenge.
Muhabbat Main Maine Kya Kuch Nhi Luta Diya,


Unko Pasand Thi Roshni Or Hamne Khud Ko Jala Diya....
Sache dil se karo fariyaad to
Duniya ki har ek cheez milti hai.
Jis par khuda ki rehmat ho jaye
Use kaanto me bhi khushbu milti hai.
Pyar se pyari koi majburi nahi hoti, Kami apno ki kabhi puri nahi hoti,Dilon ka juda hona ek alag baat hai, nazron se dur hona koi duri nahi hoti
Hazaron Tukery Kiye Us Ne Merey Dil K Magar Faraz..



Khud Hi Ro Para Her Tukrey Per Apna Naam Dekh Kr....!!!
ik aise shakhs se bhi rah o rasam hain apni

ju berukhi se milen aur ajnabi na lageeeee
MERA SHAOOR BEHALTA NAHI HAI LAFZOON SAY ..
MAIN TERE KHATT K NAHI TERE INTAZAAR MAIN HOON...
Uski yadon mein uski baton mein
Us ki duaon mein kahin mera aks to jhilmilata hoga
Lakh masroof hoga apnay kamon mein woh
Par ik pal to meri yad mein bitata hoga
Dil ki Batain bata deti hain Aankhein
Dhadkanon ko Jaga deti hain, Aankhein

Dil pe chalta nahi Jadoo Chehron ka kabhi
Dil ko tu Deewana bana deti hain Aankhein

Woh hum se baat nahi karti tu na kare
Haal sara un ke dil ka Suna deti hain Aankhein

Gham sada rehta nahi Aadmi ke saath
Ashk bana kar Chalka deti hain Aankhein

Aata hai jab dor - e - Jawani , tu aye Dosto
Sunder Sapne Zehan main Basa deti hain Aankhein

Mana ke Neend aati hai Aankhon hi ke raste
Magar kabhi kabar Neend uda deti hain Aankhein