Zamanay Bhar Ki NigahOn Main Jo Khuda Sa Lagay
Wo Ajnabi Hai, Magar Mujh Ko Aashnaa Sa Lagay
Na
Jaanay Kab Meri Duniya Main Muskuraye Gaa
Wo Aik Shakhs K KhuabOn Main Bhi Khafa Sa Lagay
Ajeeb Cheez Hai YaarOn, Ye ManzilOn Ki Havas
K Raahzan Bhi Musafir Ko, Rah-Numa Sa Lagay
Dil-e-Tabaah! Tera Mashvara Hai Kia, K Mujhay
Wo Phool Rang Sitaraa Bhi, Be-Wafa Saa Lagay
Hui Hai Jis Se Munavvar Har Aik Aankh Ki Jheel
Wo Chaand Aaj Bhi Mujh Ko Kam Numa Sa Lagay...