Hans SMS Messages404 messages

Ankhon Mein Namee, Hansi Labon Par
Kya Haal Hai, Kya Dikhaa Rahay Hoo
Ban Jaayenge Zaher Peete Peete
Yeh Asshq Joo Peete Ja Rah
Fraib tha unki Hansi main,Ashqi samjh bathay


Maut ko hum apni zindagi samaj baithe,


ye wAQat ka mazaQ Tha ya hamari bAdnaseebi,


unki do baton ko mohAbAt samajh bathay
Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila
Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila

Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat
Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila

Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor
Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila

Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka
K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar Luta k mila

Main jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main
Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila

Main Zakham-e-Zakham Badan Le K Chal Dia
Wo Jab Bhi Apni qabar Per Kanwal Saja K mila,
Bataane Se Bhee Ye Gham Kyon Kam Naheen Hote
Aansuon Se Dil Ke Kone Nam Naheen Hote

Thee Bahut Umeed To Apnon Se Is Dil Ko Kabhee
Par Hameshaa Saath Ye Hamdam Naheen Hote

Bebasee Hansne Lagee Khaamoshi Ab Hai Goonjtee
Band Kamron Men Koyee Mausam Naheen Hote

Jab Khushee Hai Naachtee Gaatee Hai Man Kee Har Kalee
Un Gharon Men Kyaa Kabhee Maatam Naheen Hote

Pyaar Sab Miltaa Jinhen Ranjish Naheen Koyee Kabhee
Kyaa Kabhee Aise Dilon Men Gham Naheen Hote

Yaad To Karte Hain Unko Ham Sadaa Hee Raat Din
Khwaab Men Unke Kabhee Kyaa Ham Naheen Hote
Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo
Jaane Kiaa Kia Suna Gaye Aansoo

Koi Roya Tha Hichkion Se Bohut
Aur Kisi Ko Hansaa Gaye Aansoo

Bat Kehne Ki Jab Bhi Koshish Ki
Lab Khule The K Aa Gaye Aansoo

Thapkiaan Jaise De Raha Ho Koi
Behte Behte Sulaa Gaye Aansoo

Nanhe Hathon Ne Thamnaa Seekhaa
Maan Ki Aaankhon Main Aaa Gaye Aansoo
Sondhee Mittee Kee Khushboo Mien Liptee Huyee Kucch Yaadien
Phoolon Kee Pankhuriyon Mien Sahejay Huye Kucch Lamhaat
Uss Aksmaat Mulaaqaat Kee Goonjtee Huyee Dharkhan
Ek Ghazal Mien Gholee Huee, Kisikay Lafzon Kee Misree
Zehen Mien, Be-Khauf Failtaa Hua Ek Tassavvur Ka Jaadoo
Waqt Kee Aankhon Say Giree Huyee Ek Ashq Kee Boond
Shabnam Say Churayee Huyee, Thorhee See Numee
Ek Ajnabee Say Milee, Be-Takalluf Hansee
Unkee Jhalak Ka Muskurata Hua Khumaar
Ek Chashm Mien Tairtee Huyee Jheel Kee Gehraayee
Zehan Kay Aangan Mien Kheltay Huey Khayaalon Kay Kehkahay
Ek Manzil Pay Baithay Huey Intezaar Kee Kashish
jaane kyun wo saanso ki dor tootne nahi deta
bas do kadam aur chalne ka waasta dekar mujhe rukne nahi deta

baat kehta hai wo mujhse Hans Hans kar jee lene ki
ajeeb shakhs hai mujhko chain se rone nahi deta

aaj hausla deta hai mujhe chaand sitaro ko chhu lene ka
wo pyara sa chehra mujhe tootkar bikharne nahi deta

shayad jaanta hai wo bhi in aankhon men aansuo ka sailaab hai
jaane kyun fir bhi wo in aansuo ko girne nahi deta

mujhse kehta hai, “main to mar jaunga tumhare bina“
main zinda hun ab tak ke wo mujhe merne nahi deta..
Hum Dard ke Maron ka,
Hum Dard ke Maron ka,
Itnaa Hi Fasanaa Hai
Peene ko Sharab-e-Ghum,
Dil Ghum ka Nishanaa Hai

Dil Ek Khilauna Hai,
Taqdeer ke Hathho mein
Marne ki Tamanna Hai,
Jeene ka Bahanaa Hai

Deten Hai Duwaaen Hum,
Duniya ki Jafaaon ko
Kyoon Oonko Bhulayen Hum,
Ab Khud ko Bhulanaa Hai

Hans Hans ke Baharen To,
Shabnam ko Rulaati Hai
Aaj Apni Muhobbat par,
Dariyaa ko Rulanaa Hai
har dil mai dard daba hota hai,

bayan karne ka andaaz juda hota hai,

kuch log ankhon se dard baha lete hain,

Or kisi ki Hansi mai hr ghum chupa hota hai...
Yahan apni apni bari per sab Hanste hian..Sab rote hain..dil to sab ka hota hai,aur dukh bhi sab k hote hain.kuch ashq dilon per girtey hain,kuch matti main mil jatay hain.kuch lafz adaa ho jatay hain ,kuch honton main sil jatey hain..Mana k adhooray rehtay hain par khawab to sab k hotay hain.
Nafratain lakH mili koi muhabbat na mili.


zindagi beet gai par rahat na mili


Teri mehfil main har shaks ko Hanste dekha


ik mAin Tha jisay HansnAy ki ijazAt Na mili.
~~~~~TearZ~~~~~
Us nay kaha tha k tumhari aankhein bohat roshan hain
Mein kuch soch kar Hans pari
Us bekhabar ko kia khabar
K barish k baad hee mausam nikhartay hain