Gali se ek ladki guzra karti thi
Uske
Chehre par nakab hua karta tha
Phir bhi us par ek ladka marta tha
Shyad vo use dilo jan se chahata tha
Woh use baar baar kehta “Muh se naquab hata do apna chand sa mukhada dekha do”.
Par ladki ne muh se naquab na hataya Ladke ko apna chehra na dikhaya
Kai din beet gaye ladki ko woh ladka nazar na aaya
Ladki kuch pareshan se rehne lagi
Kisi terha puchte puchte woh uke ghar pahochi.
Padosiyon ne kaha “ Mahotarma aap ko aane main thodi der ho gaye us deewane ke to saat roz pehle he mot ho gaye”.
Padosi ne apna farz nibhaya ladki ko ladke ke kabar tak pahuchaya
Ladki zor zor se rone lagi apne aansuon se kabar ko dhone lagi
Tabhi kabar se ek aawaz aaye
“Waqt waqt ke baat hai pehle tumhare
Chehre par naquab tha aur aaj humare
Chehre par hai”