Chalak SMS Messages13 messages

Agar sansen mehk jaen, Agar ankhen Chalak jaen, Agar khuabn ki khuaish ho, Agar phool’n ki barish ho, Agar hanste hoe rone ko ji chahe akele mai, Agar koe dekh kr tm ko, kahen kho jae melai mai, Agar tm pouchne jao k akhir kia haqikat hai, Aur is ka ye jawab aei ” mujhe tm se nufrat hai” Samjh lena MUHBT hai, Samjh lena MUHBT hai.
Boy: Darling, tumhara naam apny haath pe likhu ya dil pe?
Girl: idhar udhar Q likhty ho.. agar sacha piyar kirty ho to apni property papers pe likh do.


Oye teri larkian kitni Chalak hogye hn star plus dekh ker
Chalo Hum Maan Lete Hain,
Ye Duniya Jhoot Kehti Hy,
…Tumhe Hum Se Nahi Ulfat,
Chalo Hum Maan Lete Hain,
Tumhari Be’qrari Ki,
Wajha Kuch Aur Hi Hogi,
Nigaahen Mujse Milte Hi,
Tumhare Muskrane Ka,
Sabab Kuch Aur Hi Hoga,
Jise Km’fehm Logon Ne,
Mohabbat Naam De Daala,
Mgr Itna Bataa Do Tum,
Bicharte Waqt Jan-E-Jaan!
Palat Kr Dekh K Hum Ko,
Tumhari Jheel Si Aankhen,
Chalakti Ja Rhi Thi Kyun…??
Hame Tarpaa Rhi Thi Kyun…….?
mein nhin khud ke liye hoon mein zamaney ke liye
khud ko zakham de de kar auroon ko hasaney ke liye

hum ne kya kya na kiya tere chaley janey ke baad
tujeh hi yaad kiya tujh ko bhulaney ke liye

ye khiza ye andhere ye viraney sa safar
hum toh nikley the kahin aur hi janey ke liye

ayina dekh ke heraan sa ho jata hoon
khud ko hi bhool gaya app ko paney ke liye

yun raqeeboon se hans hans ke kyun miltey ho
teri berukhi hi bahot hti dil ko jalaney ke liye

ye jo Chalakta hai ankhoon se ise pani na kaho
ye toh moti hai mere pya rko sajaney ke liye!!
Aye Khuda Rait key sehra ko samandar kar dey

Yan Chalakti Aankhon ko bhi pathar ker dey

Tuj ko dheikha nahi mehsoos kia hai mai ney

Aa kisi din mere ihsaas ko payker ker dey

Yan Chalakti Aankhon ko bhi pathar ker dey

Aur kuch bhi mujey darkaar nahi hai lakin

Meri chaadar mere pairon key barabar ker dey

Yan Chalakti Aankhon ko bhi pathar ker dey
Samajh jAta hoon Lakin dair sE Daoo Paich us k



wo Baazi jheet jata hAi
mEray Chalak hone tAk. . . . .
Chehre Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.
ghar aankh sey ansoo chChalak pardey,
dekhey gha nazarey falak bardey,

wo na jayein hamein chord kar, ik sheesha tord kar,
issi liye rokney ko rasta hum sham sey rasty par hein khardey
Bara Gumaan Tha Mausam Shanaas Hony Ka

Wohi Bahana Bana Hy Udaas Hony Ka

Fiza Mehakne Lagi, Roshni Chalakne Lagi

Tou Ye Nishaan Hy Tere Aas Pass Hony K
Pyaar aapka meri aankkhon mein Chalakta hai
Sun kar aapke dil ki baatein,dil mera dhadakta hai..
Aapko yaad hum kaise karein mere mehboob
Ke kaunsa pal hai jab ye dil aapko bhoolta hai..
Gafil hun ager deen se tou dunya se kya paya hai

Her shakhs ne mujhko mazaq hi banaya hai

Pahar kehta hun hudko per moom hi sarmaya hai

Dard sene ka ankhon se Chalak aya hai

Gafil hun ager deen se tou dunya se kya paya hai

Jazbaton se kheyl kar usne mazaq mera uraya hai

Dekha kar asman zameen mein dafnaya hai

Haan gafil hun deen se phal dunya mein paya hai
kahi chand rahoon mai kho gaya,kehi chandni batak gai,
mai chirag vo b buja hua , meri rat kaisy chamak gai,
meri dastan ka arooj tha ,teri nam palkon ki chayon mai,
mery sath tha tujy jagna , teri ankh kesy chapak gai,
bala hum mily b to kya mily, wohi doorian wohi fasily,
na kabi hamary kadam bhary, na kabi tumhari jijak gai,
tery hath sy mery hont tak wohi intezar ki piyas hai,
mery nam ki jo sharab thi kahi rasty ma Chalak gai,
tujy bhool jany ki koshishain kabi kamyab na ho sakin,
teri yad shah-e-gulab hai , jo hawa chali to lachak gai