Badan SMS Messages60 messages

Kabhi kabhi meray dil mein khayal ata hai
K zindagi teri zulfon ki narm chhaon mein
Guzarnay pati tu shadab ho bhi sakti thi
Yeh teragi jo meri zeest ka muqadar hai
Teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi
Ajab na tha k mein begana alm ho kar
Teray jamal ki ranaeon mein kho rehta
Tera gudaz Badan teri neem baz ankhein
Inheen haseen fasanoon mein mehav ho rehta
Pukarteen mujhe jab talkhiyan zamanay ki
Teray labon say halawat k ghoont pee leta
Hayat cheekhati pherti barehna sir aur mein
Ghaneri zulfon k saya mein chhup k jee leta
Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan Mairee Khaamoshi Ko Sadaa Na Day
Jo Tairay Baghair Na Jee Sakay Uusay Jeenay Ki Too Duaa Na Day,

Too Azeez Dill-o-nazar Say Hay Too Qareeb Rag-o-jaan Say Hay
Mairay Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day

Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon Tujhay Chah Kay Bhee Na Paa Sakoon
Mairee Hasratoon Ko Shumaar Kar Mairee Chahatoon Ka Silaa Na Day,

Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thee Mairay Tan Badan Say Lipat Gai
Jo Bujha Sakay To Bujha Isay Na Bujhaa Sakay To Hawaa Na Day,

Tujhay Gar Mailain Kabhee Fursatain Mairee Shaam Phir Say Sanwaar Day
Gar Qatal Karna Hay To Qatal Kar Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day.
Wo Day Raha Hai Dilasay To Umar Bhar K Mujhay,
Bichar Na Jaye Kahin Phir Udaas Kar K Mujhay,


Jahan Na Tu Na Teri Yaad K Qadam Hongay,
Dara Rahay Hain Wohi Marhalay Safar K Mujhay,


Hawa-E-Dasht Mujhay Ab To Ajnabi Na Samajh,
K Ab To Bhool Gaye Raastay Bhi Ghar K Mujhay,


Dil Tabah Teray Gham Ko Taalnay K Liye,
Suna Raha Hai Fasanay Idhar Udhar K Mujhay,


Qaba Zakham Badan Par Saja K Nikla Hoon,
Wo Ab Mila Bhi To Dekhay Ga Aankh Bhar K Mujhay,


Kuch Is Liye Bhi Main ussay Bichar Gaya "Umer"..
Wo Door Door Say Dekhay Theher Theher K Mujhay...

Teri bewafaayi ka kissa jab jab yaad aayega
mere tan Badan mein ek aag si bharkaayega
jo tu ne kiya koi dushman bhi nahin aisa karta
dekh lena ek din tu bhi bohat pachtaayega
Meray sabar ka na lay imtehan
Meri khamshi ko sada na dey
Tu aziz dil-o-nazar say hai
Tu kareeb rag-o-jaan say hai
Meray jism-o-jaan ka yeh faisla
Kahin waqt or barha na de
Tujhe bhol k b na bhula sakon
Tujhe chah k b na pa sakun
Wo Tarap jo shola-e-jaan mein thi
Meray tan Badan say lipat gae
Jo bujha sakey tu bhuja ise
Na bhujha sake tu hawa na dey
Agar milay kabhi fursatein
Meri tanhai sanwar dey
Yun judaiouy ki saza na dey
Kabi tamana k rastoon par
Nikal paro tou khayal rakhna
Hawain, badal,fizain, mousam
Khayal chahray badal badal kar tumhain milain gay.
Tum lamha lamha badaltay Rangoon k sokh dhokay main a na jana.
Aur apni aankhain kahein khala main ganwa na aana.
K aisa na ho jo khoab totay.
Dhanak dhanak ka sarab totay.
Tou jism-o-jan pay azaab totay.
Aur tum ba mushkil
Laraztay hathon main kirchi kirchi Badan sambhalay zameen pay utro.
Kahein bolandi pay charh k doobti hoe nighahon say wapsi k nishan dhoondo.
Ujar gaya jo jahan dhoondo.
KAHEIN AISA NA HO.
KHAYAL RAKHNA……….!!!!!!
Tumhain Ab Bhool Hee Jayen Tou Acha Hai
Yeh Faslay Aur B Barh Jayen Tou Acha Hai


Tumhari Chahatain Hum Ko Nahi Hasil
Tu Ab Ghair Hee Ban Jaye Tou Acha Hai


Humahre To Umer Guzri Hai Teri Chahat Main
Tu Is Aag Main Na Jalaye To Acha Hai



Barso''n Se Thi Dua K To Meray Sath Ho
Kehta Hoon K Ab Samna Na Ho Tera Tou Acha Hai



Rehta Tha Teri Mohabbat Ka Saya Humaray Sath
Ab Tou Apni Perchai B Na Ho Tou Acha Hai



Raiza Raiza Ho Chukki Hai Rooh Meri
K Badan Say Ab Nikal He Jaye Tou Acha Hai ..!!
"TOO LATE"
Aadhi Raat k Sanatay Me
,Kis Ne Phone Kea Hy Muj Ko?
Jane Kis Ka Phone Aiea Hy,
Phone Utha Kr Yun Lagta Hy,
Os Janib Koi GumSum,
Okhra Okhra Dheray Dheray
Kanp Rha Hy,Mehki Hoi Ik Khamoshi Hy,
Ghup Khamoshi,Lakin Is Khamoshi Me B Gonj Rahe Hen,Thandi Sansain,
Barish,Aanso,Khamoshi Se Thak Kr Os Ne Saans Liya Tu,
Choorhi Khhanki,Uff Ye Khhan Khhan. . . .
Ik Lamhay Me Sarey Badan Me Phail Gaee Hy,
Teray Ilawah Koi Nhi Hy,Lakin Itnay Barson Bad. . . . .
Benaam Sa Ye Dard...Thehar kyon Nahi Jata
Jo Beet Gaya Hai...Woh Guzar Kyon Nahi Jata.


Sab Kuch To Hai...Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein
Kya Baat Hai...Mai Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata..


Woh Ek Hi Chehra To, Nahi Sare Jahan Mein
Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata...


Main Apni Hi Uljhi Hoi...Raho Ka Tamasha
Jate Hain Jidhar Sab...Main Udhar Kyon Nahi Jata...


Woh Naam Jo Na Jane Kab Se, Na Chehra Na Badan Hai
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata...!
Hum na samjhe tere nazroon ki taqaza kya hai...
Kabhi jalwa kabhi parda ye tamasha kya hai...

Mujh ko madhosh sa ker rakha hai tere aankhon ne...
Warna ae Saaqi tere meh khane mien rakha kya hai...

Dekh laila tere majnoo ka kaleja kya hai...
Khak mien mil k bhi kehta hai k bigra kya hai...

Ye surahi sa Badan le k mere samne na aa...
Main sharabi hoon sharabi ka bharosa he kya hai...

Aapne honton ko mere honton se chone to de...
Aik do ghoont se bottle ka bigarta kya hai...
Ek haseen khwaab tha ki hakeekat kaise jaanon main,
Apni saanson mein teri khushboo ab tak pehchanoon main.

Tum is tarah mujhme samaayi thi ki jaise koi faasla na raha,
Sone do thodi der aur ab khud ko kyun aaj ab jagaoon main.

Kuch lamhe kaise beet gaye ehsaas na hua,
Apne Badan se alag tujhe kyun pehchanoon main.

Teri zulfen mujhse aaj bhi lipat ke yun sawaal karti hain,
Tumhare paas bhi jawaab na hoga ye ab jaanoon main.

Kyun is tarah tumne mujhe jaane diya ye gawaara nahin mujhe,
Chupa ke rakh leti mujhe agar, tab teri diwaanagi ka kaha maanoon main.

Koi khushnaseeb pal yun guzra tha mujhe choo kar aise,
Ek ehsaas apni dhadkan mein aaj tak behta janoon main.
hum na samjhe nazroon ki taqaza kya hai... kabhi jalwa kabhi parda ye tamasha kya hai... mujh ko madhosh sa ker rakhi hai tere aankhon ne ... warna ae saaqi tere mah khane mien rakha kye hai.... dehk laila tere majnoo ka kaleja kya hai... khak mien mil k kehta hai k bigra kya hai... ye surahi sa Badan le k mare samne na aa.... main sharabi hoon sharabi ka bharosa he kya hai....