Apna SMS Messages777 messages

Aap Apnay qareeb aanay nahin daitay,
Khud ko seenay say laganay nahin daitay,

Dil aap ki yaad main tarapta bhi bohut hay,
magar aap hamain aanso bahanay nahin daitay,

aap ki yaadon ko rook pana hay mushkil,
Rooth’tay hain to phir mananay nahin daitay.
Humne jitna chaha unhe Apna banana,
Unhone utna hi chaha hume satana,
Dil behelane ke aur bhi tarike hai
Par shauk tha unka hume tadpana.
rooh mujh se bichar jane ko hai
Wafa-e-muhabbat rakh ho jane ko hai
Jo mere dil se jur kar meri zaat mein raha
Woh bandhan pal mein toot jane ko hai

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Sokoon dil barbaad ho jane ko hai
Raaste socho ke simat jane ko hai
Yeh kaisa too ne muhabbat mein faasla rakha
Apna ho ke ajnabi ho jane ko hai

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Qurbato ke nisha mit jane ko hai
Faasle dooriyu mein badal jane ko hai
Woh ja sakta hai meri muhabbat ko chor ke
Meri zaat to us ki muhabat mein waft ho jane ko hai
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein,
Ke Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe Ek Raat Nawaz De ,
Magar Uske Baad Saher Na Ho

Woh Bara Raheem-o-Kareem Hai,
Mujhe Yeh Sifat Bhi Ata Karein
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon,
To Dua Mein Meri Asar Na Ho

Kabhi Din Ki Dhoop Mein Jhoom Ke,
Kabhi Shab Ke Phool Ko Choom Ke
Yun Hi Saath Saath Chalein sada,
Kabhi Khatam Apna Safar Na Ho

Mere Paas Mere Habeeb Aaah,
Zara Aur Dil Ke Qareeb AaAh,
Tujhe Dhadkano Mein Basalon Main,
Ke Bichhadne Ka Kabhie Dar Na Ho
kuch yon teray wajood mein gum ho gaya hon mein tere nazar say Apna pata pochta hon mein sukh teray jaloo mein to dukh meray sath thay aa dost pir b dekh zinda raha hon mein Pathar aanso, chasham-e-tar reza reza yani ham bikhren hokar reza reza aainay mein akas tera mujood raha aainay say mein bahar reza reza
Kabhi Aansoo kabhi khushboo kabhi naghma ban ker

Hum sey har shaam mili hai tera chehra ban ker

Meri jaagi hoi raaton ko usi ki hai talaash

Soo raha hai meri Aankhon mai jo sApna ban ker

Hum sey har shaam mili hai tera chehra ban ker

Kabhi aansoo kabhi khushboo kabhi naghma ban ker

Raat bhi agar aye tu bhujti nahi chehrey ki chamak

Rooh mai phail gya hai wo ujala ban ker

Dhoop mai wo khoo gya hath chorwa ker Raheel

Ghar sey jo sath chala tha mera saaya ban ker

Hum sey har shaam mili hai tera chehra ban ker
chalo khawab ankhon main saja kar dekhtay hian
chalo hum kisi ko Apna bana kar dekhtay hian
khon k rishton say aitebar uth gaya
chalo benam rishtay bana kar dekhtay hian
zindagi asan ho jaye shayad hamari
chalo hath ki lakiren mita ka r dekhtay hian
andheri shab tu kisi surat kat,ti nahi
chalo ghar apn a jala kar dekhtay hian
hamain maloom hay k tum nay hamara hona nahi
chalo tum per ye zindagi luta kar dekhtay hian....
koi mera be toh ho saath nibhaney ke liye
mujhe mangey khuda se Apna bananey ke liye

mere ansoo meri palkoon se churaney ke liye
bas wohi ho mujhe siney se laganey ke liye

yoon toh hein chahney waley bahot se duniya mein
nhin hai koi magar saath nibhaney ke liye

din bhar khwab jo tootey the sametey hum ne
phir so gaye naye khwab sajaney ke liye

meri sansoon ki rawani toh faqat dokha hai
haan mein zinda hoon magar sirf dikhaney ke liye!!
Sochta hoon taire bare main Apna kheyal likhoon
tairi tehreef likhoon ya khuda ka kamal likhoon

maire qalam se aur koi tehreer ban na paaey
main jab bhe likhoon bas taira hus-ne-jamal likhoon

main ne ek ummer kati ha tenhaiyoon main
kaghaz k aik tukre pe kaise main hal likhoon

her zindgi ko urooj tak jo rahnamai de
main apni zindgi ki aaisi misal likhoon

maire baad bhe muje loog kitaboon main dein jaga
main apne urooj ki terha Apna zawal likhoon
Tum ko Maloom B Shayad Ye Kabi Ho K Na Ho


Meri Raatein. Teri Yaadon se saji rehti hain
Meri Saansein Teri Khushbo mai basi rehti hain

Meri Aankhon mai Tera SApna saja rehta hai
Haan Mere Dil mi Tera hi Aks basa rehta hai

Is tarah Mere Dil ke boht Paas ho Tum
Jis tarah paas hi Sheh-e-Rag ke Khuda rehta hai

Tum ko Maloom bhi shayad ye kabhi ho k na ho..!!

Mere Aangan mai lage phool gawahi deinge
Mai ne Arsey se kisi Phool ko dekha bhi nahi

Tujh ko socha hai to phir Tujh ko hi socha hai faqat
Tere siwa.. kisi aur ko socha bhi nahi

Tum ko Maloom bhi shayad ye kabhi ho k na ho..!!
kia zaroori hey key jo hum chahtey hen wo hi ho?
jo safer kertey hen hum uski koi manzil bhi ho?

qurbatoon aur faslon key dermiyan jo lamha hey
us lamhey per her chahney waley ko kuch qudrat bhi ho?

hum raat bher jiskey liey jagtey bhi hen rotey bhi hen
wo bhi hamen kuch yaad kerta, sochta, rota bhi ho?

kia zaroori hey key her dukh ka miley koi hisaab?
aur hamarey dukh ka koi bantney wala bhi ho

hum jisey Apna nahi kehtey hen Apna jaan ker
wo humen Apna samajhta ho mager kehta bhi ho?

kia zaroori hey key jo hum chahtey hen wohi ho?
jo safer kertey hen hum uski koi manzil bhi ho?
Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-e-Gham Main
K Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain

Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha
Warna Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain

Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girte
K Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain

Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain

Hum Karain Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
K Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain

Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Darr
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain

Ab Dast-e-Shanasai Na Barhayain Gay Hum
K Zamane Bhar Se Thukrai Hue Ha