Apna SMS Messages777 messages

KAUN SUNEGA KIS KO SUNAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN
HUM SE APNE RUTH NA JAYE IS LIYE CHUP RAHETE HAIN

MERI SOORAT DEKHNE WALON MAIN BHI EK AAYENA THA
TOOTA JAB YEH SHEESH-E-DIL SAWAN KA MAHINA THA

TUKRE DIL K KIS KO DIKHAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN
HUMSE ApnaY RUTH NA JAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN

AAJ KHUSHI KI IS MEHFIL MAIN Apna G BHAR AAYEA HAI
GHAM KI KOI BAAT NAHI HAI HUMEN KHUSHI NE RULAYEA HAI

AANKH SE AANSO BAHE NA JAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN
HUMSE ApnaY RUTH NA JAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN

PYAR K PHOOL CHUNAY THAY HUMNE KHUSHI K SEJ SAJANE KO
PAT JHAR BAN KAR AAYI BAHAAREN GHAR MAIN AAG LAGANE KO

AAG MAIN GHAM KI JAL NA JAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN
KAUN SUNEGA KIS KO SUNAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAI
Uski yadon mein uski baton mein
Us ki duaon mein kahin mera aks to jhilmilata hoga
Lakh masroof hoga Apnay kamon mein woh
Par ik pal to meri yad mein bitata hoga
Sun li jo khuda nay wo dua tum to nahin ho
Darwazay pay dastak ki sada tum to nahin ho

Simti hoye, sharmae hoye, raat ki rani
Soye hoye kalyon ki haya tum to nahin ho

Mehsos kiya tum ko to geeli hoye palken
Bheegi hoye mosam ki ada tum to nahin ho

In ajnabi rahon main nahin koye bhi mera
Kis nay mujhe yon Apna kaha tum to nahin ho
Poocha rooh nikalti hai jism sy kis tarah?Hath us ny hatoon sy chura kr dikha diyapoocha mehshar sy pehlay qayamat hai kiya??Nakab usny ruh sy utha kr dikha diyaPoocha k yeh her taraf khizan c kyoun hai???Mehfil sy khud ko utha kr dikha diyaPoocha ek diya jo hawa sy na bujh saka??Diya us ny wafa ka jala kr dikha diyaPoocha k aakhir yeh hassad hai kiya cheez??Us ny kisi aur ko Apna bana k dikha diya...!
phool sitare dariya un aakhoN ke naam,
humne likhyeN hai kya kya un aankhoN naam...

jin aankhoN ne meri nindeN chhinii hai,
mera her ek sApna un aankhoN ke naam...

kuch bhi kaho lagta hai jaise baat adhuri ho,
sher kahe hai kya kya un aankhoN ke naam...

aaj se unke sare bandhaN mere hai,
aaj se har ek rishta un aankhoN ke naam...
khush thay kuch aisay teri rafaqat k shauq main*
manzil ganwa di ham ne musaafat k shauq main
nafrat hi pehr e daar mili har makaam par
jis darr pe ham gaey hain mohaabat k shauq main
ham baargah e ishq main maqbool youn hue
khud se bichar gaey teri qurbat k shauq main
lautay hain ab tou saath hai ranj o alam ki bheer
niklay thay ghar se ik musarrat k shauq main
Apnay chaman se raabta bilkul nahi raha
sehra norad ho gaey daulat k shauq main

daaman main hasraton k siwa kuch nahi
aisay lutay hain ham teri chahat k shauq main
Bachpan ke dukh bi kitne ache the,
tab to sirf khilone tuta karte the.
Wo khushiyan bi na jane kaise khushiyan thi,
titli ko pakad ke uchhla karte the.
Paoon maar ke khud barish ke pani mae,
Apna aap bhigoya karte the.
Ab to ek aansu bi rusva kar jata hai,
bachpan mein to dil khol ke roya karte the.
Main Lafzon main kuch asar nahin kerta.Iss ka matlab yeh nahin key main tujhey pyar nahin kerta.Chahta hon main tujhey aaj bhi.Mager teri soch main Apna waqt bekaar nahin kerta.Tamasha na ban jaey kahin mohobat meri.Iss liey apney dard ko namoodar nahin kerta.jo kuch mila hai usi main khush hon.Main tere liey Khuda say takraar nahin kerta.Par kuch to baat hai teri aankhon main.Werna main tujhey chahney ki khata baar baar nahin kerta.
Pyaar ka to Dushman Zamana hai,
Har Aashiq ke Pyaar ka Apna hi fasana hai.
Sab ko pata hai Ansu hi milte hai Pyaar me,
Phir bhi kyun har koi Pyaar mein Deewana hai
saada se ik chehray per
kia jaduger si Ankhain hain
jo dekhay in ka hojaye
jo utray wo kho jaye
kitnay sApnay jag rahay hain
in palkon k saye saye..
shama seher si ,chara gar si,
namar barsi Ankhain hain
anjani pahchani si
apni aur begani si
aik hi manzer ka hissa bhi
aks bhi hairani bhi
sahil jaisi lagty hain wo aur bhanwar si Ankhain hain
saada se ik chahray per kia jadooger si Ankhain hain
***ADA E ISHQ***
Har lamhay ko is tarhaa main taay kar jaoon gi
Har ik pal mai tujhay Apnay qareeb laoon gi

Mehsoos bhi na ker paiy ga tu mujhay humdum
Main teri sanss mai iss tarhaa bass jaoon gi

Guzarty hovey lamhoon ko ik yaad banatay huwey
Main teray her pal ko is tarhaa mehakaoon gi

Gar bhool na chahay bhi tu mujhay aaiy humnasheen
Jatay huwey teray chehray pay Apna akass chor jaoon gi

Zindagi mein aisa lamha bhi hoga socha na tha
Paa ker uss ko main haadh se hi guzar jaoon gi.
Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga.
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga.
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi.
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga
Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy.
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga.
Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga.
Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy.
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga.
Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana.
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga.
Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab.
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga.