Ankh SMS Messages1253 messages

Khirkiyon K Sheeshon Par,

Reengtay Huwe Qatray....

Yun Phisalte Hain Jaise!!!!

Mere* Aur Baadal K Darmayan Koi Hai:......

Jo Mere Aur Baadal K Raaz Ko Samajhta Hai......

Jab Ghatayen Chaatien Hain

Tou Sirf Woh Nahi Roteen......

AAnkhain Bhi Barasti Hain,

Khirkiyan Bhi Roti Hain.....
Kabhi Rukey Howay Kisi Lamhey Main
Kabhi Dukhey Howay Kisi Chehrey Main
Wohi Chehra Bolta Rehta Hoon
Wohi AAnkhain Soochta Rehta Hoon
Wohi ZulfaiN Dekhta Rehta Hoon
Nah jane kiun mera peeccha karti hein
yadein uski essa hamesha karti hein

bholna chahoon bhi tu bhula nah paaon usse
sanson se uski muattar hawaein aaya karti hein

fizaein ithlati hein uske badan ko choo kar
subak kharami dekh ke uski samander mein lehrein utha karti hein

phool uske lab o rukhsaar ki balaein lete hein
palkein utha ke dekhey tu dilon per bijliyan gira karti hein

ab tum hi batao kesse chuppon uss se jimmi
har pal har jageh uski Ankhein mujhey dekha karti hein
kahi chand rahoon mai kho gaya,kehi chandni batak gai,
mai chirag vo b buja hua , meri rat kaisy chamak gai,
meri dastan ka arooj tha ,teri nam palkon ki chayon mai,
mery sath tha tujy jagna , teri Ankh kesy chapak gai,
bala hum mily b to kya mily, wohi doorian wohi fasily,
na kabi hamary kadam bhary, na kabi tumhari jijak gai,
tery hath sy mery hont tak wohi intezar ki piyas hai,
mery nam ki jo sharab thi kahi rasty ma chalak gai,
tujy bhool jany ki koshishain kabi kamyab na ho sakin,
teri yad shah-e-gulab hai , jo hawa chali to lachak gai
simat te paya
ek nai umang mein har baar meri aAnkhon ne kshitij mein sama rahe

sooraj ko nihara.........par phir subhe ki laalima mein palkon ko

bheega hua paya
shaamon-sehar bas tanhai..........aur har lamha isi soch mein beeta
is duniya ko main samajh nahi payi ya is bhari duniya mein koi

..............mujhe samajh nai paya?
Zamanay Bhar Ki NigahOn Main Jo Khuda Sa Lagay
Wo Ajnabi Hai, Magar Mujh Ko Aashnaa Sa Lagay

Na Jaanay Kab Meri Duniya Main Muskuraye Gaa
Wo Aik Shakhs K KhuabOn Main Bhi Khafa Sa Lagay

Ajeeb Cheez Hai YaarOn, Ye ManzilOn Ki Havas
K Raahzan Bhi Musafir Ko, Rah-Numa Sa Lagay

Dil-e-Tabaah! Tera Mashvara Hai Kia, K Mujhay
Wo Phool Rang Sitaraa Bhi, Be-Wafa Saa Lagay

Hui Hai Jis Se Munavvar Har Aik AAnkh Ki Jheel
Wo Chaand Aaj Bhi IMRAN Ko Kam Numa Sa Lagay
Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal Jab AAnkh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai
Ek kasak dil mein dabi reh gayi,
Zindagi mein unki kami reh gayi,
Itni ulfat k baad b vo mujhe na mile..
Shayad meri mohabbat mein hi kuch kami reh gayi..
===========================================================
tanhaai ma aksar aAnkhain nam rehti hain
k meri khuli baanhain har waqt ussay pukarti rehti hian
na hai ussay fikar meri aur na khayal mera
phir b us ki yaadain dil ko tarpaati rehti hain
Apne haathon se yun chehre ko chupate kyon ho
Mujhse sharmaate ho to saamaney aate kyon ho

Tum kabhi meri tarah kar bhi lo iqaraar-e-wafaa
Pyaar karte ho to phir pyaar chhupate kyon ho

Ashk aAnkhon main meri dekh ke rote kyon ho
Dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kyon ho

Roz mar mar ke mujhe jeene ko kehte kyon ho
Milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho
Meri Ankhoon Sai Kabhi Utroo Dil Main,
Kai Main Dhadkan Main Basa Lon Tum Ko,
Jaan Sai Barh Kar Chahon Tumhain,
Apni Zindagi Hi Banna Loon Tum Ko,
Maray Khabon Main Sirf Tum Hi Baso,
Apni Neendon Main Saja Loon Tum Ko,
Loogon Ki Bhir Main Kho Na Jao Kahin,
Zamanay Sai Chalo Main Chura Lon Tum Ko,
Meri Tanhai Ko Zaroorat Hai Tumhari,
Gar Ijazat Ho Tu Yadon Main Bula Lon Tum Ko
Baatein kartay hont achaanak ruk jaatay aur,
AAnkhain uss k peechay peechay chal parti theen,
Dhyaan ka rastaa kho jaata tha.
Mehfil mein jis simt Woh jaati,
Kamaray ka woh hissa yak-dam roshan ho jaata tha.
Jaadugar theen aAnkhain Uss ki,
Palkain theen ek Raaz!!
Rooh mein jhilmil ker daiti thi,
Aisi thi Awaaz!!!
Apni AAnkhon Ke Samunder Main Utar Jaane De...
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De...
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko...
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De...