Ankh SMS Messages1253 messages

Kaun kehata hai tujhe maine bhula rakha he
Teri yadon ko kaleje se laga rakha he

Lab pe Aahen b nahi AAnkh me Aansu b nahi
Dil ne har raz muhabt ka chhupa rakha he

Tune jo dil k andhere me jalaya tha kbhi
Vo diya aj b siine me jala rakha he

Dekh ja aake mahakte huye zakhmon ki bahaar
Maine ab tak tere gulshan ko saja rakha he
kucha yon huwa aAnkhon aAnkhon se payar ho gaya.

phir yon huwa juda hote huwe dono ki aAnkhian nam ho gayi.
Sab khaloos baatoun mein sab karam khayalon mein,
Bas zara wafa kam thi terey shaher waloun mein..

Pehli baar nazroun ney chaand boltey dekha,
Hum jawab kya daitey kho gaye sawaloun mein..

Raat teri yaadoun ney dil ko iss tarah chera,
Jaisey koi chutki ley naram naram gaaloun mein..

Youn kisi ki aAnkhoun mein subha tuk they hum,
Jis tarha rahey shabnam phool k piyaloun mein..

Meri aAnkh k taarey abb na deikh pa''''o gay,
Hum raat k musafir they kho gaye ujaaloun mein..
Sawal tu hy jawab tu hy.
Mohabbato''n ki kitaab tu hy.
Be-sabat jaha''n k rang saray.
Meri nazar mein shabaab tu hy.
Ye kainaat hy jis se roshan.
Aftab,taray,mehtaab tu hy.
Kabhi tou hota hy paas mere.
Kabhi chamakta saraab tu hy.
Phool,kaliyo''n ka khush-rung pairhen.
Khushbuo''n ka hijaab tu hy.
Tu meri khwahish,tu meri hasrat.
Meri aAnkho''n ka khwaab tu hy.
Nisaab-e-zindagi hy ishq.
Meri zindagi ka nisaab tu hy...
Aur Tum Saamne Aaa Jaao
Sochti baithi hoon ….
Kaash aisa ho
Tanha chandni raat ho
Aur Tum Saamne Aaa jaao
Khwaab dekhti hoon....
Mehfil ho….Koi naam le tumhara
Aur Tum Saamne Aaa Jaao
Mehsoos Karti Hoon.....
Ye barfili chaadarein
Ye khushboo hawaaon mein
Jab tumhaare chehre se ye guzarkar
Tumhari khushboo liye mere chehre pe samaaye
AaAnkh khule Aur Tum Saamne Aaa Jaao
Jhumti hoon
Baarish mein bh
Aaj bhe waisa hi mousam hai

aaj bhe waisy he badal hain

aaj bhe waisi hi barish hai

jub hum pehli baar milay thy

yaad hai,humne ye socha tha

humko milty dekh kr mousam

itna khush hai,itna khush k

es ki aAnkhain bheeg gae hain

magr aaj ye jaan gaey hain

k

mousam us din keun roya tha....
Kub Tak Dil ka Aaine Main Mera Aks çhupaoge

Kab Tak Rahoge khafa kabhi To Maan Jaoge

Mujhe ßhoolne ki çhah Main kahien khud ko Na ßhula Dena

Dil k §abhi Raston Main §irf Mujhe Hi Paoge

Mera Aks Tumhari Ankhon Main Har Pal Jhilmilata Hy

Mohabbat ki Haqeeqat ko kab Tak Jhutlaoge

Rasm-E-Duniya He §amajh ka kabhi To Izhaar kar Dena

Yeh Lamhey Rooth Gaye To Umar ßhar Pachtaoge
Tmhara naam likhta hn
Main kaghaz pe
Dekhta hn
Sochta hn
Wo kaghaz phaad deta hn
Phr un kaghaz k tukro''n ko
Mutthi me bheenchta hn
Phenk deta hn
Wahi''n pr beth k larta hn khud se
Wohi kaghaz uthata hn
Main aAnkho''n se lgata hn
Main tum ko sochta hn
Phir uss paani ko
Taweez-e-Mohabbat jaan ker peeta hn
AAnkhei''n moond leta hn !!!!
wo jis ka naam tha sanson mein
aur honton par....
wo por por mein kuch iss tarha otarta gaya
har ek gosha dil khud bakhud mehakta gaya
hina se naam hathelee pe bhi likha os ka
wo aik shaks mujhe aaj iss tarha se mila
ke os ke chehre pe dekhi hain ajnabi Ankhen
main ab waisa hon jesa tum mujhe chor gey thy"dost"

bus kuch Ankhin zard hogai hain tery any ki aas main.
koi raha hai meri aAnkhon ka bhi haqdar...

aAnkh kya barsi tu wo bhi sath chor gaya...
Tu mra ha tera naam koi or na le,

in sulagti Ankhon ka jaam koi or na le.

kch islye b mene tera sth na chora,

tu gir gya to tjy thaam koi or na le!!!