Agar SMS Messages1430 messages

Takdeer k hum staaye gaye hain,

Pyaar mein har taraf se thukraaye gaye hain.

Aaj hum gum k musaafir hain,

MAgar aise hum the nahi banaaye gaye hain.
Jo dekha tumko,to dekha chand,
Jo dekhi tumhari muskan,to dekha saAgar,
Jo dekhi tumhari aakhen,to dekha mera dil,
Jo suni tumhari baatein,to suna meine geet,
Jo paya tumhara saath,to mili mujhe preet,
Jo nazar tumhari uthi,to suraj nikla,
Jo nazar tumhari jhuki,to chand nikla,
Jo meine dekha tujhe to sara jahan nazar aaya!
Tum Ne Kaha Tha Agar Kabhi Bhi

Bichar Gaye To Aisa Karna

Dil Mein Pyaar K Jugnoon Bhar K

Mujh Ko Kuch Pal Dhoondtey Rehna

Dekhna Phir Main Lot Aoun Ga

Tum Ye Keh Kar Chalay Gaye The

Laikin Teri Khoj Main Ab Tak

Main Aur Jugnoo Bhatak Rahey Hain.....!!
Khafa hona mana lena

Ye sadiyon ki riwaayat hai

Muhabbat ki alaamat hai

Gilay shikwey karo mujh se

Tumhein iss ki ijazat hai

MAgar ik baat meri yaad rakhna

Hawaein rukh badlti hain

Khizayein lout aati hain

Khatayein ho hi jati hai

Khafa hona bhi mumkin hai

Khata hona bhi mumkin hai

MAgar yoon haath se daaman churaya nahi karte

Taluk root janey se kabhi toota nahi kartey.
bohat bey chein karta hey mujhey barsat ka mosam..
barastey motyon wali ghaneri rat ka mosam..

umadd ata hey aise mein ye palkon ki munderon par..
sulagtey, dil jalatey, reshmin jazbat ka mosam..

teri qurbat mein khamoshi ka alam haye kya kehna..
kabhi na keh ke bhi keh janey wali baat ka mosam..

muhabbat lakh rang badley mAgar badla nahi ab tak..
tumhari jeet ka mosam, hamari maat ka mosam..

teri palkon ka jhukna surmayi se baadlon jesa..
jo uthein to badal dalein ye kaynaat ka mosam
Band sheeshon k parey daikh,dareechon k udher…

Sabz pairon pe,ghani shaakhon pe,pholon pe wahan…

Kaise chup chaap barasta hai musalsal paani…….!

Kitni awaazain hain,log hain,baatain hain mAgar……

Zehan k peechey kisi aur hi satah pe kahin……..!!!!!!

Jaise chup chaap barasta hai tasavvur tera…………..!
Kabhi khud hi mere pass aa
Meri baat sun mera saath de
Jo khlish hai dil se nikal kar
Muje uljhanon se nijat de
Tujhe sochna mera mashgala
Tujhe dekhna meri arzoo
Muje din de apne khayal ka
Mujhe qurb ki koi raat de
Meri zindagi mere saath chal
Mere hath mai apna haath de
Muje gham khushi se kabool hain
Tu jo Agar mera saath de
mujhay fursat hi fursat ha..
mujhay fursat hi fursat ha..
saweirey jald uthna ha..
na shab ko deir se sona..
kahein baahir nahi jana..
kisi se bhi nahi milna..
na koi fikr laahaq ha..
na koi YAAD baaqi ha..
mAgar ye aakhri misraa..
zara sa jhoot lagta hai..!!
Nazar ki dhoop may sayy ghulay hain shub ki tarhan
May kub udaas nahin tha mAgar na aub ki tarhan

Phir aaj shehray tamanna ki rehguzarown say!
Guzar rahay hain kai log rozo shub ki tarha

Tyjhay to may nay bari aarzoo say chaha tha
Yay kia k chor chala tu bhi or sub ki tarhan

Fasurdgi hay mAgar wajaay ghum nahi maloom
k dil pay bojh sa hay ranjay bay sabab ki tarhan

khilay to aub bhi gulshan may phool hain laikin
Na meray zakhum ki surat na teray lub ki tarhan
dekho pareshan mat hona
kahafa hona,,,hairan mat hona


mujhe mehsoos karna,,per sanam
mohabbat mien veeran mat hona


sath nahi de sakte to
kisi ki jaan mat hona


bhale,,,torr do dil
mAgar socho?


kisi ki dil aazadi ka samaan mat hona
aaj soch lo?
tum ko hai mera hona


haa jaana tum
mere dil ka armaan mat hona
Mujhe khabar thi
zamana chahay bura hi samjhe
bhalay se ghar main mukhalfat ho
tumharay logoN ko na-pasand ho
tumhaiN to mujh per yaqeen ho ga
mAgar mujhay kuch khabar nahi thi
tumhari aaNkhoN ki unsiat bhi
ik ajanabiat se dekhti hai
ye waqt mushkil tareen hai na
suno!
main majboor ho gaya hooN
ye sochne per......... ye poochne per
tumhain to mujh per yaqeen hai na??...
Hamare sabra ka ya rab! koi inaam ho jaye
are rukh se hate parda or hamara kaam ho Jaye

bharam rakhna hai saqi ka gire hai dagmaga kar hum,
Agar hum hosh mai rah jaye wo badnaam ho jaye,

hamara naam to aaye kabhi najuk si hotho pe
koi pegaam na bhejo koi iljaam ho jaye,

nikal aaye jo shab ko bhi to roshan ho sabhi manjar,
bikhre julf to din mai gahri shaam ho jaye

karamat de mere maula mere fun ko, zara kuch yu jo utre un ki aankho mai idhar unka ilhaam ho jaye,

koi pahucha de apni arz ko un tak kabhi Rahul,
hamari har gazal unke liye paigaam ho jaye