Adalt SMS Messages47 messages

roh ki gherat khowab hoi
tekh-e-anna bey aab hoi


Merey wajood pay aara chalta jatta hey
meri zameen ka naam bAdalta jatta hey
oor mey choop hoo!!!!!!!!!!
Musafir to bichadte hain , rafaqat kab bAdalti hai
Mohabbat zinda rehti hai,mohabbat kab bAdalti hai

Tumhi ko chahte hain hum ,tumhi se pyar karte hain
Yehi barson ki aadat hai aur aadat kab bAdalti hai

Tumhe jo yaad rakha hai yehi apni ibadat hai
Jo paththar par likhi jaaye ,ibarat kab bAdalti hai

Kali ka phool banna aur bhikhar jaana
Yehi qaanoon -e- fitrat hai to fitrat kab bAdalti hai

Jo dil pe naqsh kar jaaye aur aankhon mein simat aaye
Alaamat hai yeh chaahat ki to chaahat kab bAdalti hai

Use chaaha use pooja yehi tauqeer hai apni
Hamein gumrah mat samjho ibaadat kab bAdalti hai

Purane zakhm ko ab Bhula dein yahi achcha hai
Na chaahe aap hi koi to qismat kab bAdalti hai
Raat kat''ti rahi Chaand chalta raha,

Aatish-e-hijar main koi jalta raha,

Tanhaiyaan dil ko dasti raheen

koi bey chain karwatain bAdalta raha,

Aas o umeed ki shama roshan rahi

Ghar ki dehleez ko koi yon hi takta raha,

Raat bhar chaandni gungunaati rahi

Raat bhar koi tanha sisakta raha,
Bay baat bigartay rehtay ho
Bay chain hamesha rehtay ho
Yeh sab nishani ISHQ ki hai
Kiya ISHQ kisi say kertay ho...?


Ratoon ko jagtay rehtay ho
Aur taray bhi tum gintay ho
Yeh sab nishani ISHQ ki hai
Kiya ISHQ kisi say kertay ho...?


Zikr jo mera chalta hai
Chehray ka rang bAdalta hai
Bay chain say tum ho jatay ho
Kiya ISHQ mujh hi say kertay ho...?
Ajeeb Qarb Ka Alam Hai Meri Basti Par,
Ghata Bhi Chaai Hai Barsat Bhi Nahi Hoti,
Silay Hain Hont Koi Baat Bhi Nahi Hoti,
Ajeeb Rang BAdalta Hai Asar Ka Suraj,

K Sham Khafa Hai Or Rat Bhi Nahi Hoti,

Main Tumhari Zaat Ka Hissa Bhi Ban Nahi Sakta,

Juda Tumse Meri Zaat Bhi Nahi Hoti.../
Haqiqat Hai Yaqeen karlo, Main use BhoOl Ker Khush HOon
Muhabbat mar Chuki Abb To, Main use Bhool ker Khush hOon

bAdalti raat Ki Wajha Se, Tabiyat kuch Bojhal Si hai
YuN mera haal Mat pooch main use BhOol ker KHush Hoon

meray lehejay per mat Chonkoo, meri Ankhon Main mat JhanKOo
Yun hairat se Na DekHOo, Main Use Bhool ker Khsuh hOon

tumhain kya wehem hai, kiun raat bhar milnay nahin atin
aye meri neend ki pariyo, main use bhool ker khush hoon

bhala kiun rooz baahain waa kiye mujh se milnay ati hai
tum us ki yaad se kehe doo , main use bhool ker khush hoon

udasi saray ghar main phelti jati hai ghum ban ker
dar-o-dewar per likhdoo, main use bhool ker khush hoon
kisi ki yaad dil main hai koi ehsas baqi hai
bAdalte mausam ke darmiyan ek raz baqi hai

abhi main safar mein hoon mile gi manzil mujhe
magar in raston kay darmian ek sath baqi hai

kahin pe sham dhalti ha kahin raat hoti
abhi to chandni hai chand ki raat baqi hai

chale aao kisi din tum hamara haal bhi dekho
hamara jism murda hai magar aik saans baqi hai

umeed hai phir bhi mile ga wo hamain aik din
khuda par hai bharoosa,khuda ki baat baqi hai
Kabi tamana k rastoon par
Nikal paro tou khayal rakhna
Hawain, badal,fizain, mousam
Khayal chahray badal badal kar tumhain milain gay.
Tum lamha lamha bAdaltay Rangoon k sokh dhokay main a na jana.
Aur apni aankhain kahein khala main ganwa na aana.
K aisa na ho jo khoab totay.
Dhanak dhanak ka sarab totay.
Tou jism-o-jan pay azaab totay.
Aur tum ba mushkil
Laraztay hathon main kirchi kirchi badan sambhalay zameen pay utro.
Kahein bolandi pay charh k doobti hoe nighahon say wapsi k nishan dhoondo.
Ujar gaya jo jahan dhoondo.
KAHEIN AISA NA HO.
KHAYAL RAKHNA……….!!!!!!
KAHAN A DOST CHALTE JA RAHE HO
BAHOOT AAGE NIKELTE JA RAHE HO

CHALE JAOW MAGAR YEH TO BATAOW
YEH RESTE KION BAdaltE JA RAHE HO.
Sachi hai meri dosti azmake dekhlo,

Karke yaki mujpe mere paas aake dekhlo.

BAdalta nahi kabhi sona apna rang,

jitni baar dil kare aag laga kar deklo
Kabhi milay tu usay yeh kehna
K tanha sawan bita chuka hoon
Saray armann jala chuka hoön
Jo sholay bharkay thay khawhishon k woh ansuaon
se bujha chuka hoon
Kahin milay to usay yeh kehna k Baghair us k udas
hoon main
BAdalti rut ka qiyas hoön main
Bujha de apni mohabaton se, Sulagti sadiyon ki piyas
hoon main, Kahin milay tu usay yeh kehna
Na dil main koi malal rakhe, Hamesha apna khayal rakhe
Apne sare ghum mujh ko dai de
Or sari khushian sambhal rakhay.
Raat Kat’ti Rahi Chaand Dhalta Raha
Aatish-e-Hijr Main Koi Jalta Raha

Ghar Ki Tanhaiyan Dil Ko Dasti Rahi’n
Koi Bechain Karwat BAdalta Raha

Aas-o-Umeed Ki Shama Roshan Rahi
Ghar Ki Dehleez Ko KOi Takta Raha

Raat Bhar Chaandni Gungunati Rahi
Raat Bhar Koi Tanha Sisakta Raha

Ashk Palo’n Pe Aa K Bikherte Rahe
Naam Lab Par Kisi Ka Larazta Raha

Aaj Phir Raat Basar o Hi Gayi
Aaj Phir Koi Khud Se Ulajhta Raha