Adalt SMS Messages47 messages

khushnuma lamhon ko kaise ghrahan laga diya tumne
khilkhilaati masarton ko kaise tanha bana diya tumne
tumhe to sab kuch tha pata kya kuchh hain hone waala
kuchh na bataya raaz apna benoor chhod diya tumne
hum to laaye the jalti mashalon ki lou dhundkar
kar daala andhera mashalon ko bujha diya tumne
mousam ki tarah rang bAdalte rahe tum baar baar
jab bhi jaanna chaha chehra laga diya tumne
tumhara har gunaah chhupa liya dost bankar
kahe kise humhari vafa ka achha sila diya tumne
Yun hi intezar karta raha or waqt dhalta raha
mere intezar ka sooraj her lamha pighalta raha

tay to yeh hua tha key payen gay aik hi manzil
beech rah main woh mukar geya soo-e-manzil main chata raha

kabi us key liye hans diye kabi us key liye ro diye
woh khud ko to na badal saka bus mujh ko he bAdalta raha

ab tak kaise chup raha yeh mut pooch Majid
waqt mujhay behlata raha or main behelta rah
Bay baat bigartay rehtay ho
Bay chain hamesha rehtay ho
Yeh sab nishani ISHQ ki hai
Kiya ISHQ kisi say kertay ho?
Ratoon ko jagtay rehtay ho
Aur taray bhi tum gintay ho
Yeh sab nishani ISHQ ki hai
Kiya ISHQ kisi say kertay ho?
Zikr jo mera chalta hai
Chehray ka rang bAdalta hai
Bay chain say tum ho jatay ho
Kiya ISHQ mujh hi say kertay ho ??
Tumhain Maloom Hai Ham Ne
Kisi K Hijar Main Ye Zindagi Kaise Guzari Hai

Har Ik Khusboo Ki Aahat Per
Guman Us Ka Guzarta Hai
Har Ek Saat Pe Dil Aankhon Main Aaker Beth Jata Hai
Kai Pehlo BAdalti Khuwahishain Hathon Ko Phelaie
Duain Mangti Aur Hanpti
Dil Se Guzarti Hain

Magar Jo Hijar Lahaq Hai
Wo Jism-O-Jan Ki Deewarain Girata Hai
Umeedo Beem Ki Aankhon Se
Beenai K Sab Manzaroon Ko Khak Karta Aur Mitata Hai

So Ham Bhi Khak Hain
Aur Khak Ki Qismat Main Likha Gia Hai
waqt badlta hia zindagi k sath
zindagi bAdalti hia mohabbat k sath
mohabbat nia bAdalti apno k sath
buss apne badal jate hian waqt k sath
Nazr me zulmat Badan me thandak
Jamal kitna ajib sa tha
Me uski chahat me ghr se nikla tou
Haal kitna ajeeb sa tha
Na mene usy khatoot likhe
Na usne meri panah chahi
Dono ko apni bekhudi pe
Malal kitna ajeeb sa tha
Wo apni raato''n me chand dekhe
Main apni raato''n me usko socho''n
BAdalte lamhon me soch ka ye
Visal kitna ajeeb sa tha
Safar akele kr lo ge
Mene poocha tou ro dia wo
Jawab kitna ajeeb sa tha
Sawal kitna ajeeb sa tha
Nazar me ZuLmat badan main thandak
Jamal kitna ajeeb sa tha,
Mian us ki chahat me ghar se nilka tu
Haal kitna ajeeb sa Tha,
Na main ney osay khatoot likhe
Na os ney meri panah chahi,
Dono ko apni bey khudi pe
Malal kitna ajeeb sa tha,
Wo apni raton me chand dekhe
Main apni raton main os ko souchon,
BAdalte lamhon me souch ka yeh
Visaal kitna ajeeb sa tha,
Safar akelay he kaat lo gey
Main ne poucha tu ro diya wo,

Jawab kitna ajeeb sa tha
Sawal kitna ajeeb sa tha.......
Tanhaioon Main Mujhay
Tairay BAdaltay Tevar Pay
Apni Muhabbat Ki Paspai Pay
Maira Zoor Say Roo Daina
Mujhay Maira Muqadar Lagta Hai
Dard Uthtay hain magar Aah nahi karty,
Kon kahta hai Hum Wafa nahi karty,
Aakhir kyun nahi BAdalti Taqdeer Hamari,
Kya Aap bhi Hamary Haq me Dua nahi krte.
Wo Suraj Ki Tarah Aag Ugalte Rhe

Hum Musafir Safar Par Hi Chalte Rhe.

Woh Beete Waqt thay,Unhe Ana Na Tha

Hum Saari Raat karwate bAdalte rahe.
Wada kar ke jo mukar jate hain
Woh log sab se jyada kareeb hote hain
Waqt to chalta hai chal ke bAdalta hai
Par ye log waqt se pehle hi badal jate hain..
Baghair us k udaas hoon main
BAdalti rut ka kiyaas hoon main
Bujha de apni muhabbatoon se
Sulagti sadion ki piyaas hoon main