Aankhon SMS Messages273 messages

USS se milney ko kabi hum Jo machal Jatey hain.

To khayalo Me bahot door Nikal Jatey hain.

Gar wafaao me sadaqat b ho shiddat b.

Phir to ehsaas se pather b pighal Jateay hain.

Uski aankho k nashey me hon Jab se dooba.

Larr-kharatey hain kadam Or sanbhal Jatey hain.

bewafaai ka mujhey Jab b khayal aata hai.

Ashk rukhsaar pe Aankhon se phisal Jatey hain.

Piyar me aik hi mosam hai bahaaron ka Faraz.

Log moosam ki tarah kaisey badal Jatey hain.?
Hum Ko Acha Laga

Tera Muskurate hoye aana Hum ko acha laga
Wo Tera Sharam se guzar jana acha laga

Door se Dekhna wo Tera Pass aa ker
Nazrain Jhukana acha laga

Wo jo Barson se Tere Seene mai Qaid hai
Aankhon se batana acha laga

Tera jate waqt Murr ker na dekhna
Phir Qadmon ka Ruk jana acha laga

Tuu Falak ki tarha chaya tha Mujh per
Aaj wo Falak ka Toota Tara acha laga

Suna hai Mohabbat mai hote hain her taraf Andhere
Aaj Duniya ka wo Qaul sacha laga
Tumhain bakhsi hay dil ki hukmarani, aur kya detay?
yehi thi bus hamari rajdhani, aur kya detay?

saja ker sir hatheli per gaye thay koo-e-jana me
hum apnay ishq main unko nishani aur kya detay?

woh hamsay mangta tha umar ka ik dil-nasheen hissa
na detay usko hum apni jawani, aur kya detay?

Sitaaron se kisi ki maang bherna ik fasana hay
tumharay naam likh di zindagani, aur kya detay?

Bichartay waqt usko ik na ik tuhfa to dena tha
Hamaray paas tha Aankhon me paani, aur kya detay
Do Ghari neend Sula do
Mujhko

Ek naya khawab dikha do
Mujhko

Na pohanch paon mein
Chalte chalte

Aisi manzil ka pata do
Mujhko

Zindagi talkh hui jati hai

Ab na jeene ki Dua do
Mujhko

Yun Hi kam hogi jalan
Aankhon Ki

Tum Zara aur rula do
Mujhko

Jurm to koi na Saabit
Hoga


Be-Gunahi Ki Sazza Do
MUJHKO...!!!
hum na samjhe nazroon ki taqaza kya hai... kabhi jalwa kabhi parda ye tamasha kya hai... mujh ko madhosh sa ker rakhi hai tere Aankhon ne ... warna ae saaqi tere mah khane mien rakha kye hai.... dehk laila tere majnoo ka kaleja kya hai... khak mien mil k kehta hai k bigra kya hai... ye surahi sa badan le k mare samne na aa.... main sharabi hoon sharabi ka bharosa he kya hai....
Tere sabhi ghamon ko samait loon tujhe itna pyar doon ,,,
teri udasion ko mita ke teri her shaam nikhaar doon

terii Aankhon main chhupi khizan mere dil pe aser kar gaee
tere wajood ko mehka de jo tere labon ko vo bahaar doon

terii ik muskurahat ka badal kuch ho nahi sakta mager
jo milay tujhe khushi ager main apni jaan bhi waar doon

aagaya hai jo hijir ka daur tere mere dermiyan
jo milain mujhe fursatain yeh waqt ka qarz utaar doon

tunhaiyon ke tufaan se jo bikher gae hain sabhi
jo kahay tu ager aa teri her zulf ko sanwaar doon

meri ik nigah bhi hai terii ik nazer ki muntazir
jo karay tu nazer idher tujhe duain beshumaar doon

na dhan se,daulat se na duniya se koi wasta mera
chale jo bas ager tere sang zindagii guzaar doon........!
Tere sabhi ghamon ko samait loon tujhe itna pyar doon ,,,
teri udasion ko mita ke teri her shaam nikhaar doon

terii Aankhon main chhupi khizan mere dil pe aser kar gaee
tere wajood ko mehka de jo tere labon ko vo bahaar doon

terii ik muskurahat ka badal kuch ho nahi sakta mager
jo milay tujhe khushi ager main apni jaan bhi waar doon

aagaya hai jo hijir ka daur tere mere dermiyan
jo milain mujhe fursatain yeh waqt ka qarz utaar doon

tunhaiyon ke tufaan se jo bikher gae hain sabhi
jo kahay tu ager aa teri her zulf ko sanwaar doon

meri ik nigah bhi hai terii ik nazer ki muntazir
jo karay tu nazer idher tujhe duain beshumaar doon

na dhan se,daulat se na duniya se koi wasta mera
chale jo bas ager tere sang zindagii guzaar doon........!
Wo Samne Aye To Nazron Ko Jhukaa Loon Ga
Dekhoon Ga Nahi Phir Bhi Tasweer Bana Loon Ga

Aana Ho To Aa Jao Ruswayee Nahi Hogi
Dekhega Nahi Koi Palkon Mai Chupa Loon Ga

Jo Hum Per Guzarni Hai Ek Bar Guzar Jaye
Her Gham Ki Tarha Tujh Ko Seene Se Laga Loon Ga

Weeran Agar Dil Ho Aankhon Mai Andhera Ho
Yaadon Ke Diye Apni Palkon Mai Saja Loon Ga

Manzoor Agar Hogi Ruswayi Teri Mujh Ko
Mai Beth Ke Sahil Se Toofaan Utha Loon Ga

Naraz Agar Wo Hain Mere Nasheman Se
Mai Apne Nasheman Ke Tinkon Ko Hata Loon Ga

Kyun Mujh Se Khafa Ho Ker Wo Door Gaye
Baanhon Mai Wo Aa Jayaen Mai Un Ko Mana Loon Ga
Kitni Aziyat Se Us Ne Mujh Ko Bhulaya Ho ga
Meri Yadon Ne Usay Khoob Rulaya Ho Ga

Baat Be-Baat Aankh Us Ki Jo Chalki Ho Gi
Us Ne Chehray Ko Bazuon Main Chupaya Ho Ga

Socha Ho Ga Us Ne Din Main Kayi Bar Mujhay
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh K Mitaya Ho Ga

Jahan Us Ne Mera Zikar Suna Ho Ga Kisi Se
Us Ki Aankhon Main Koi Aansoo To Aya Ho Ga

Raat K Bheegnay Tak Neend Na Ayi Ho gi Tujhay
Tu Ne Takiye Ko Bhi Seenay Se Lagaya Ho ga

Ho K Nidhal meri Yadoon Se Tu Ne Jana
Meri Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Ho Ga

Poocha Ho Ga Jo Kisi Ne Teri Haalat Ka Sabab
Tu Ne Baton Main Khoob Us Say Chupaya Ho Ga
Ager wo meherban hota tu
Meri aankh mein yeh jhilmilati nami na hoti
Meray dil ki wadi mein khazan ka qafla na rukta

Ager wo meherban hota tu
Meri benoor Aankhon mein sitaaray qaid ker deta
Meri zakhmi hatheli pe ik phool dhar deta

Meray haton ko haton mein leker wo yeh kehta
Muhabat rang hai, khusbu hai,
Roshni hai , Sitara hai

Qasam muj ko muhabat ki
Muje tu sab se payara hai

Meger wo aisa tab kehta

AGER WO MEHERBAN HOTA
Aankhon SAY DOOR DIL K QAREEB THA ...
MAIN US KA WO MERAA HABIB THA ...
WO JO CHALAA MUJH KO THUKRA KER
WO MERA MUQADER MERA NASEEB THA ...
NA KABHI MILA NA KABHI JUDA HOWAA ...
HUM DONO KA RISHTA AJEEB THA ...
KABHI KABHI YOOHI SOCHTA HOUN MAIN ...
KASOOR US KA NAHIN ...MAIN HEE BADNASEEB THA.
pehlay se ab wo rang ,wo melay kidhar gaye
hoti thi jin se dhoom wo jazbe hi mar gaye

Aankhon ka noor, dil ka ujaala bhi lay urray
hum ko to apne dost hi sunsaan kar gaye

haaye wo chhaaon ddaaltay chhatnaar kia huay
haay wo paaon choomtay daryaa utar gaye

ik lamha teri yaad se ghaafil huay thay hum
ik lamhay main hi kitne zamaanay guzar gaye

koi na shab ki tergi main saath de saka
kuch de gaye farayb to kuch yoonhi dar gaye

hum reh gaye hain SHAM jo tanha to gham nahi
kab ehl e dil k saath bhala kam nazar gaye