Aankho SMS Messages404 messages

Bhool Sakta Hay Bhala Kaon Yeh Pyaari Aankhain
Rang Mein Doobi Huii Neend Say Bhaari Aankhain

Mairi Her Saans Nay Her Sooch Nay Chaaha Hay Tumhain
Jab Say Daikha Hay Tumhain, Tab Sai Saraaha Hay Tumhain
Bas Gaii Hain Mairi Aankhon Main Tumhaari Aankhain

Tum Jo Nazron Ko Uthaao To Sitaray Jhuk Jaaeyn
Tum Jo Palkon Ko Jhukaao To Zamanay Ruk Jaaeyn
Kyun Na Ban Jaaeyn In Aankhon Ki Pujaari Aankhain

Jaagti Raaton Ko Sapnon Ka Khazana Mil Jaaey
Tum Jo Mil Jaao Jeenay Ka Bahaana Mil Jaaey
Apni Qismat Pay Kerain Naaz Hamaari Aankhain
Dil Ki Baatein Bata Deti Hain, Aankhein
Dharkano Ko Jaga Deti Hain, Aankhein

Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Chehraun Ka Kabhi
Dil Ko To Deewana Bana Deti Hain, Aankhein

Woh Hum Se Baat Nahi Karte, To Na Karein
Haal Sara Unke Dil Ka Suna Deti Hain, Aankhein

Gham Sada Rehta Nahi, Aadmi Ke Saath
Ashk Bana Kar Chalka Deti Hain, Aankhein

Aata Hai Jab Dor-E-Jawani, To Ae-Dosto
Sunder Sapne Zehan Mein Basa Deti Hain, Aankhein

Mana Ke Neend Aati Hai, Aankhon Hi Ke Raaste
Magar Kabhi Kabaar Neend Bhi Uraa Deti Hain, Aankhein

Shukar Hai Rab Ne Ata Ki, Aankhon Ki Neamat
Humaare Dard-O-Gham Saare Dil Ke, Chupa Deti Hain Aankhein
jisAy Daikha




usAy mukhlAs jAnA,



''Aankhon''


Ne



Baray dhokay

Diye hAin.
Arz kiya hain....
Pine de sharab teri Aankho se saaki!!!!!!!!









Pine de sharab teri Aankho se saaki????








Pine de sharab teri Aankho se saaki???????





Kyunki aab is mehfil me glass ki kami hain. :)
Raat bhar Aankhon main raha jashan ka sama
tum samne mere they kisi khuaab ki tarah,

Charon taraf phoolon main ek raqs tha bapa
saba bhi ker rahe they gulon sey utkhelean,

Thein titlian fiza main sabhi tairte hue
phoolon ka rang churate thein magar ghare ghare,

Rangon amin ek rang bara shaandaar tha
us amin bhi apne khuaab ke jaisa khumaar tha,

Qadmon main mere phool they aur sar per saibaan
hathon main tera haath tha khush tha yeh kul jahan,

Tha qos-o-qaza rehguzar apney pyar ke
jannat ka ek baagh tha sapno ki raat thi,

foren hi aankh khul gayi khushboo ke lehar thi
phir neend main kho jaaon mein koshish yehi rahi..!
Kuch fasle sirf Aankho se hote hai,

dil ke fasle to bato me hote hai.

Hum lakh koshish kare bhulane ki,

par kuch rishte sanso se jude hote hai
Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo
Jaane Kiaa Kia Suna Gaye Aansoo

Koi Roya Tha Hichkion Se Bohut
Aur Kisi Ko Hansaa Gaye Aansoo

Bat Kehne Ki Jab Bhi Koshish Ki
Lab Khule The K Aa Gaye Aansoo

Thapkiaan Jaise De Raha Ho Koi
Behte Behte Sulaa Gaye Aansoo

Nanhe Hathon Ne Thamnaa Seekhaa
Maan Ki AAankhon Main Aaa Gaye Aansoo
Neend Aankhon Main Nahin, Khwaab Kho Gaye
Tanha Hi The, Kuch Aur Tere Bin Hum Ho Gaye
Dil Kuch Tadap Utha, Zuban Bhi Ladkhadai
Teri Yaad Main Do Aansu Chupke Se Beh Gaye !
Sondhee Mittee Kee Khushboo Mien Liptee Huyee Kucch Yaadien
Phoolon Kee Pankhuriyon Mien Sahejay Huye Kucch Lamhaat
Uss Aksmaat Mulaaqaat Kee Goonjtee Huyee Dharkhan
Ek Ghazal Mien Gholee Huee, Kisikay Lafzon Kee Misree
Zehen Mien, Be-Khauf Failtaa Hua Ek Tassavvur Ka Jaadoo
Waqt Kee Aankhon Say Giree Huyee Ek Ashq Kee Boond
Shabnam Say Churayee Huyee, Thorhee See Numee
Ek Ajnabee Say Milee, Be-Takalluf Hansee
Unkee Jhalak Ka Muskurata Hua Khumaar
Ek Chashm Mien Tairtee Huyee Jheel Kee Gehraayee
Zehan Kay Aangan Mien Kheltay Huey Khayaalon Kay Kehkahay
Ek Manzil Pay Baithay Huey Intezaar Kee Kashish
KISI KA CHEHRA GHOOMTA HAI AankhoN MEIN MERI,KSEY PALKON KO KAHUN KI KHAMOSH RAHO ! SUKOON MILA HAI ARSEY SE INHEY, KESEY DHADKANO SE KAHUN KI DHIREY CHALO
wafa ishk ki mohtaaj nahi hoti,
har gham k peeche judaai ki baaraat nahi hoti,
yaha hoth nahi nam Aankho me mohabbat ka afsaana hai,
jo kahi jaa sake wahi hap dam baat nahi hoti........
jaane kyun wo saanso ki dor tootne nahi deta
bas do kadam aur chalne ka waasta dekar mujhe rukne nahi deta

baat kehta hai wo mujhse hans hans kar jee lene ki
ajeeb shakhs hai mujhko chain se rone nahi deta

aaj hausla deta hai mujhe chaand sitaro ko chhu lene ka
wo pyara sa chehra mujhe tootkar bikharne nahi deta

shayad jaanta hai wo bhi in Aankhon men aansuo ka sailaab hai
jaane kyun fir bhi wo in aansuo ko girne nahi deta

mujhse kehta hai, “main to mar jaunga tumhare bina“
main zinda hun ab tak ke wo mujhe merne nahi deta..