hath

hath
Mere hath se tere hath tk ye jo hath bhr ka h fasila

Ise napte ise katte meri sari umer guzar gai
  

Jul, 26 2013     99 chars (1 sms)     2317 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

waqt karta jo wafa ap hamary hoty

hum bhi oroon ki tarha app ko piyary hoty
Din kuch aisay guzaarta hai koi
Jaisay ehsaan utaarta hai koi
Dil mai kuch yun sambhaalta hun gham
Jaisay zevar sambhaalta hai koi
Aaina daikh kar tassali hui
Hum ko is ghar mai jaanta hai koi
Pakk gaya hai shajar pay phal shayad
Phir say pathar uchaalta hai koi
Der say goonjtay hain sanaatey
Jaisay hum ko pukaarta hai koi
Kuchh to bolo aap bhi hume sunane ki chahat hai,
Hilte dekh honth aap ke milti hum ko rahat hai,
Kuchh bhi words aap bol do shayari khud ban jaygi,
Honthon se lag kar aap ke har word mein mithaas bhar jaygi.
boht yaad aayen gi tujhe meri beylos wafain.

jb main teri zaat k sehra se nikla jaoon ga,,
Nata torne k bad us ne mange hai daye hue tohfe.

wo sub kuch le gaya sawye yaadon k...
Ek Lamha Lagta Hai

Zindagee ki raahon main
Ek lamha lagta hai
dil kisee pay anay main
mujh ko bhi mila tha woh
jis ko dekhtay hi dil
betahasha dharka tha
mujh se keh raha tha woh
tum se pyar hai mujh ko
muskura kay main nay bhi
phool le lia us say
haath haath main le kar
pyar kay ata karda aasman pay hum dono
chahtay thay saath urna
aasman pay jeevan bhar koi urr saka hai kia ?
haath haath se choota
Ek sitara jo toota
tab khabar hui mujh ko
Ek lamha lagta hai
dil kay toot janay main
aur Umar lagti hai
kirchian uthanay main
Tere siwa kisi oTere siwa kisi or mein r mein khona nahi chahti,
Tera ho kr kisi or ka hona nahi chahti,
Haq hai tujh ko mere jazbat ko thukra ne ka,
Magar tere is bewafai per rona nahi chahti,
Mumkin hai kal suraj nikle mere mout k baad,
Is liye aaj ki raat sona nahi chahti,
Mere kabar pr aakar roye na koi,
Baigane aanso se kafan bhigona nahin chahti....
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai,
Tanhai mein sheher basaaya karta hai,

Kaisa paagal shaks hai saari saari raat,
Deewaroon ko dard sunaya karta hai,

Ro daita hai aap hi apni baatoon par,
Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai...!
ho sake tu bhar day apni neend meri aankh mein,,

main to teri yaad mein barson se soya hi nahi
Apni haar main kitna sakoon tha ''faraz''

us Shakhs ne jb Galy Lagaya Jeetnay k Baad.
kIYA HAI WADA USNE PAANCHWEN DIN AANE KA,
.
.
.
.
.
.
.
.

YE JANTE HUE K CHAR DIN KI ZINDAGANI HAI.
Aalam-E-Mohabbat Main
Ik Kamal-E-Wehshat Main
Besabab Rafaqat Main
Dukh Uthana Partaa Hai
Titlian Pakarne Ko
Door Jana Parta Hai