A friend gives hope when life is low,
a friend is a place when you have nowhere to go,
a friend is honest, a friend is true.
A friend is precious a friend is u
Wafa ruswa nahi karna
Suno aisa nahi karna
Main pehlay he akela hoon
Mujhe tanha nahi karna
bohat masroof ho jana
To socha nahi karna
Bhrosa bhi zaroori hai
Magar sab ka nahi karna
Muqadar phir muqadar hai
Kabhi daawa nahi karna
Jo likha hai wo hona hai
Kabhi shikwa nahi karna
Meri takmeel tumse hai
Mujhay aadha nahi karna
Haqiqat ha Milan apna
Isay spna nahi karna
humein tum yaad rahtay ho
Humein bhoola nahi karna
rab se aap ki khushi mangtay hain,
duaao mein aap ki hansi mangtay hain,
sochtay hain kia mange aap se,
chalo aap ki umar bhar ki dosti mangtay hain...!
“DOSTI mosam nahi, keh
apni muddat pori karay orr
rukhsat ho jay,
DOSTI sawan nahi, keh
toot kar barsay or
tham jae,
DOSTI aag nahi, keh
sulgy bharkey or
bujh jae,
DOSTI aftab nahi, keh
chamkey or
doob jae,
DOSTI phool nahi, keh
khiley or
phir murjha jae,
DOSTI to saans hai jo chaley to sab kuch
toot jae to kuch bhi nahi…….. …
The best kind of friend is the kind you can sit on a porch and swing with, never say a word, and then walk away feeling like it was the best conversation you''ve ever had