Bhool jayen hum tujhe ye justuju karte rahe,,,,,,
Aur dil hi dil main teri aarzu karte rahe,,,,,,
Zindagi bhar aap ki khatir ye aankhe nam raheen,,,,,,
Zindagi bhar aansuon se hum wazoo karte rahe.......
ye lamhey yun he guzar jaeen gey,
shayad ham dost yun he bichar jaeen ge,
naraaz na hona hamari shrartoon se,
ye hi tu pal hain jo kal yaad aeen gey...
Khuda se koi baat anjaan nahi hoti,
jab insaan ki bandagi beimaan nahi hoti,
kabhi maanga hoga aapne 1 pyara sa dost,
yu hi aapki hamse pehchaan nahi hoti!!