ik raat hoi barsaat bohat
main royaa saari raat bohat
har ghum tha zamaanay ka lekin
main tanha tha us raat bohat
phiraankh say ik saawan barsa
jab seher hoi to khayaal aaya
woh baadal kitna tanha tha
jo barsa saari raat bohat
Ab ke sawan main paani barsa bohat
Paani ki har boond main woh aaye yaad bohat
Is suhaane mausam main saath nahi tha koi
Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bohat
Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay
Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye
Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay
~ Tum Bin ~