Baton Baton main bicharny ka ishara kar k,
Khud b roya bahut wo hum se kinara kar k,
Dekh lete hain chalo hosla apne dil ka,
Kuch roz tere bina guzara kar k
Suno
Hum toot jaein gay
K doori she na paein gay
Judai maar dalay gee
Suno!
Yeh aankhein bojhal hain
Inhein kis tarha behlaein
Suno!
Hum so na pein gay
Kabhi khush ho na paein gay
Judai maar dalay gee
Suno!
Ye dil tumhara hai
Na tum bhi ab guzara hai
Suno
Kuch waqt do hum ko
Bana lein dost iss ghum ko
Humein maloom hai aakhir
Judai maar dalay gee