aaj phir yaad teri ayee hai

aaj phir yaad teri ayee hai
aaj phir yaad teri ayee hai
aaj phir raat kat na payegi
aaj phir nain barsenge
aaj phir neend rooth jayegi
aaj phir dil tuje pukarega
aaj phir aass toot jayegi
  

Jun, 03 2010     165 chars (2 sms)     5129 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

ye kitaboon k Qissy,
Fasano ki baatain

nighaon ki jhilmil,
judai ki raatain

muhabat ki qasmain,
nibhaney k waday

ye dhoka wafa ka,
ye jhotey iradey

ye baatain kitabi,
ye nazmain purani

nahi in main haqiqt,
ye sab hain kahani

na likhna inhain tum,
na mehfoz karna

ye jazbay hain bas,
in ko mehsos karna
dil dharakne ka sabab yaad aya
wo teri yaad thi ab yaad aya

haal e dil hum bhi sunatey lekin
jab wo rukhsat hua tab yaad aya

bari mushkil se guzara tha ye din aey dost!
phir tera waada e shab yaad aya

beth kar saaya e gul main NASIR!
hum bohot rooye wo jab yaad aya
Meri zindgi ka tasawwar mery hath ki lakiren

Inhain kaash tum bdaltay to kuch or baat hoti

Ye khulay khulay se gesoo inhain laakh tum sanwaro

Meray hath sey sanwartay to kuch or baat hoti

Main tera aaina tha main tera aaina hon

Mery samnay sanwarty to kuch or baat hoti

Abhi aankh hi larri thi k gira diya nazar se

Ye jo silsila barhatay to kuch or baat hoti

Hamein apni zindgi ka kuch ghum nhi hai lekin

Tery "aastaney" pe marty to kuch or baat hoti
mohsin us ki hansi main chupy dard ko mehsos tou kr
wo tou unhi hans hans k khud ko sza daita hai
Sahil udaas Tha K Samadar udaas Tha

Lagta Tha Jaise Sara Manzar Udaas Tha

Loti Falak se to Bari Dilgeer Thi Dua..!!

Ek Khuwab Tootny Pr MuQadar udaas Tha...!!!
Shayad Ye SACH Hy

K Bicharne Se Koi Marta Nhi

Lekin Ek Din

Maine Phool Ki Tehni Ko Juda Kia Tou

Phool Chand Saanio''n Main Murjha Kar Dum Tor Gya

Tab Maine Jana K Agar Jazbe Sache-o-Belaus Hon Tou

Bicherne Se Koi Bhi Marr Sakta Hy. . .
magar!
yeh yaad rakhna tum
khudaa se yeh duaa karna
ke!!
jo acha lage tum ko
woh tum jaisa hargizz na ho
wagarna tum bi ro''ge
mujhe jaise rulaate ho....!
chalo maan lete hain....
.
.
tumhy mujh se bhut muhabat hai...
.
.
.
lykn es baat ka yaqeen dilao...
.
.
.
k
tumhy b apne aap se utni hi muhabat hai...
dil bhi koi aasaib ki nagri hai kay mohsin...

jo is say nikal jatey hein mur kar nahi aatay!!
Zindagi Sirf Mohabbat Nahi
Kch Aur Bhi Hy

Zulf-o-Rukhsar Ki Jannat Nahi
Kch Aur Bhi Hy

Bhool-o-Aflas Ki Is Maari
Hui Dunya Main

Ishq Hi Ek Haqiqat Nahi
Kch Aur Bhi Hy ...
Mehwar-e-Sooch dono ka aik hi hai

Mujhe "Uss" se or ussay "Khud" se Fursar nahi milti
Mohabbat rang lati hai,

Jab dilse dil milte hai.

Mushkil to ye hai,

Dil badi mushkil se milte hai.