loog toot jatay hian aik gar bananay main / tumhain taras nahien ata hian basteyan jalanay main /har dharaktay pathar ko loog dill samjhtay hain/ umer beet jate hian dill ko dill bananay main
Chhoti si ghalat fehmi.kar de gee Juda hum ko.Halaat na badlein gey....Maaloom na tha hum ko.Rishton ki humein itni Pehchaan na thi pehley.Kehney ko maraasim tou apney thay buhut gehrey.Aansoo ke siwa laiken , kuch bhi na mila hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.Uthtey huey Qadmon mein Zanjeer si par jaati.Ahsaas -e-Nidaamat se dehleez pe gar jaati.Aik baar Mohabbat se detey jo sada hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.