Izzaton say barh ker to aur kuch nahi hota
Chahton ki durri bhi,
Torna hi parti hai
Manzilon ki kashti bhi,
Morna hi parti hai
Bhoolna hi parta hai,
Khud say piyare lougon ko
Aur dil ke aangan mein,
Naqsh un ki tasweerain
Kuch haseen lafzon ki,
Kuch haseen tehreerain
Paaon jin mein jukrain hoon,
Kholna hi parti hain..
Khoobsurat aankhon mein basnay walay khawabon ko
Nochna hi parta hai
Dil se milta her rishta torna hi parta hai...
Kyun ke....
Izzaton se barh ker to aur kuch nahi hota....!
Yahan Apni Apni Bari Per
Sab Hanste Hain
Sab Rote Hain
Dil To Sab Ka Hota hai
Aur Dukh B Sab Ke Hote Hain
Kuch Ashk Dilon Per Girte Hain
Kuch Mitii Mien Mil Jate Hain
Kuch LAfz Aada Ho Jate Hain
Kuch Honton Mein Sil Jate Hain
Mana K Adhure Rehte Hain
Per Khuwab To Sab Ke Hote Hain
Garm-e-Hasrat Nakaam se Jal Jatay Hain,
Hum Chiragho ki tarah Shaam se Jal Jatay Hain,
Shama Jis Aag me Jalti hai Nimiash k liye,
Hum usi Aag me Gum-Naam se Jal Jatay Hain........
Kitne Pas Or Kitne Door HAin Hum
Khuda Hi Janta He K Kitne Majboor Hain Hum
Saza Ya ha k Mil Nahi Sakte Ap Sa
Ghuna Ya Ha K BeQasoor Hain Hum..............
Tor di har aas ki dori,
Aason mai kia rakha hy,
Ishq, mohabat hyn sab baatyn,
Baatoon mai kia rakha hy,
Qismat mai jo likha hy,
Aksar ho kar rehta hy,
Chand lakeryn uljhii si,
Warna haathoon mai kia rakha hy
hum ne kab mani thi baat zamanay ki
aaj humare baat manayzamana kyon
wo jungl kay phoolon per kyon marta hai
ussko achay lagtay hein veranay kyon
mohsin jab b chot nae kha leta hoon
dil ko yaad aatey hein dost poranay kyon,,