Samay K Saath Gar Hum Bhi
Badal Jate Tou Acha Tha
Bohat Armaan Thay Dil Main
Nikal Jate Tou Acha Tha
Na Sheeshay K Hi Reh Paye
Na Pathar K Hi Ho Paye
Kisi ache Se Saanche Main
Jo Dhal Jate Tou Acha Tha
Giray Tou Yun Giray Pee Ker
Giraya Sab Ne Nazro’n Se
Zara Larkhara Kar Hi
Sambhal Jate Tou Acha Tha
Wo Hum Se Aise Roothey Hain
K Hum Andar Se Tootey Hain
Kisi Bache K Manind Hi
Machal Jate Tou Acha Tha
Safar Main Ho Koi Saathi
Tou Aasani Si Rehti Hai
Akaile Pan K Zalim Pal
Jo Tal Jate Tou Acha Tha