rakhey Khuda ne

rakhey Khuda ne
rakhey Khuda ne do raastey
muje aazmaney ke liye

wo chour de muje ya ma chour du usey
zamaaney ke liye

kaisey maang lu RUB se
usey bhool jane ki duah

haath uth te nahi hain dua mein
usey bhool jane ke liye

nahi ki zindagi mein,
mein ne koi bi naiki

per parhi hain chup ke kuch
NAMAAZEIN usey paaney k liye

nahi hai tu na sahi wo
Qismat mein meri

per ik moqa tu de usey eh RAB,
ye aansoo dikhane k liye
  

Jun, 07 2010     431 chars (3 sms)     3041 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ab Dekhty Hyn Hum
Dono Juda Kese Ho
Paye''n Gy

Tum Muqaddar Ka Likha
Kehty Ho, Hum Dua Ko
Aazmaye''n Gy ...
uss badnasib-musaafir ki qismat ko kya kahen

mohsin

dam torr diya jis ne manzil k saamne...
mar kar bhi us ko dekhtay rehnay ki chah mein


ankhain kisi ko apni amanat mein day gaya
yehi taarey tumhaari aankh ki chilman mein rehtey thay
yehi sooraj nikalta tha tumhaarey baam se pehley


yay saarey rang murda thay tumhari shakl banney tak
yay saarey lafz mohmal thay tumhaarey naam se pehley
Main nay us k hath ki lakeron main
Aik siyah til dekha
Aur usay bataya, ye Daulat ka til hay
Tumahray hathon main kitni Daulat hay
Us nay apnay dono hathon say
Mera chehra thaam kar kaha
Han ! Dekho meray dono hathon main
Kitni Daulat hay. . . . . . /
Subah Hoe To Aankhain Aisay Neend Se Bojhal Thin

FARAZ

Jaisay Koi Jag Raha Tha Mujh Main Sari Raat
main bad dua to nahin de raha tum ko

magar dost khuda kare ke tumhen mujh sa koi na mile..
Teri Khawish Us Waqt Bahut Tarpati Hai
Sawan Me Koi Boond Jab Bikhar Jati Hai
Meri Ruh Bhi Tarapne Lagti Hai Us Pal
Jab Thandi Hawa Teri Gali Se Guzar Kar Aati Hai
yaadon ki kimat woh kya jane,
jo khud yaadon ko mita diya karte hain
yaadon ki kimat to unse pucho
jo yaadon ke sahare jiya karte hain
ArZo0 HaY TumHAin Do0R Se DekHNay KI,
MAgEr PasS NaHi AaNa ChAhTa,
TaMaNnA NaHi tuMHain PANAy ki,
MAgeR KhoNA BhI NAHi CHAhTa...
batao kaisi lagi judai ki yeh shaam...

ghuroob hota howa kesa lag raha hon main..
jab bahaar aei tuu sehra ki tarf chal nekla
sehn_e_gul chor gaya dil mera pagal nekla
hum sakon dhundny nekly thy pareshaan rahy
shehr tuu shehr ha jungal b na jungal nekla
hum usy dhundny nekly tuu neshaan tak na mela
dil main mojud raha ankh say ojhal nekla
wo jo afsana_e_ghum sun k hansa karty thy
etna roay hain k sab ankh ka kajal nekla
ek mulakat thi jo dil ko sada yad rahi
hum jesy umar samjhy thy eo ek pal nekla..!!