Muhabbat Phool Hai Jana,
Kaho To Phool Ban Jaoon,
Tumhari Zindagi Ka Ek,
Haseen Asool Ban Jaoon.
Suna Hai Rait Pe Chal K,
Tum Aksar Mehk Jatay Ho,
Kaho To Ab K Bar Main,
Zameen Ki Dhool Ban Jaoon.
Buhut Nayab Hotay Hain,
Jinhein Tum Apna Kehte Ho,
Ijaazat Do Ki Main Bhi,
Es Qadr Anmol Ban Jaoon . . . o_O
khuwab k phoolo ki tabeere kahani ho gayen khoon thanda pr gya ankhen purani ho gayen Jis ka chehra tha chamkte mousamo ki AArzoo uski tasweren bhi aur aankhe khizani ho gayen dil bhr aaya kagaz khali ki surat dekh kar Jinko likhna tha wo sub batain zubani ho gayen Jo muqadar tha usay to rokna bus me na tha unka kya karte Jo batain na gahani ho gayen Reh gya dil me rang yaad e raftagan phool mehnge ho gaye qabrain purani ho gayen . . .