choom leti hai kabhi

choom leti hai kabhi
choom leti hai kabhi lab to kabhi aariz-e-naaz

Tumne zulfon ko bahot sar pe chadha rakha hai
  

Jun, 02 2010     95 chars (1 sms)     2822 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

chand ki tahani dekha kar
rona aaya
whose kya akelay pan ko dekh kar rona aaya

kitna akela hai who apni mohabaat kya bagaar
whose chahaat ko apni chahaat kya sath milaya kar rona aaya




dis is my own shariy kisss site say copy bahi nahi kari hai
agar ap logo ko mera kalam pasand aaya tou mujay meray no par msg kar kya rank
Mohabbat Kar Kay Dekhi Toh Mohabbat Ko Pehchana Hai
Wafa Buss Naam Ki, Bewafai Ka Fasana Hai
suno khudh se mughay tum juda na karo
meri mohabbat ko tum youn ruswa na karo

ye sab khel hain taqdeer ke Milan aur judai
per tum to apni zindagi se mughay juda na karo

mana bohat khudh garz hun aur khush faham bhi main
per tum bhi mere sitam ko youn saha na karo

saza do mughay tum meri berukhi ki zaroor
magar aise mugh se apne mun ko tum mora na karo

janta huun tanha hai sabhi ki sada se ye zindagi
aise khamosh rehker use aur tanha na karo
Us Ka Andaz-e-Bayan
Hi Maar Deta Hy
''Faraz''

Wo haqeeqat Main
Pyaar Karey Ga Tou
Kia Ho ga ... !!
Tanha Si Zindagi Main

Chota Sa Saath Tumhara

Ittifaq Hi Sahi

Par Lagta Hai Hum Ko Pyara

Jaise Akele Se 1 Parinde Ko

Mil gaya Ho Aasman Saara
iShq Kii Daastaan Hai Pyaare,
Apani Apani Zubaan Hai Pyaare

Ham Zamaane Se iNtaqaam To Len,
Ek Hasiin Darmiyaan Hai Pyaare

Tu Nahin Main Hun, Main Nahin Tu Hai,
Ab Kuch Aisa Gumaan Hai Pyaare

Rakh Qadam Phunk Phunk Kar Naadaan,
Zarre Zarre Men Jaan Hai Pyaare.
payas ki betabyon ko kis terha samjhe ga.
jis ne sahra khareed kar aik samnder beach daya.
tu ne acha hi kua pathron k shahr main ane se pahle.
kanch ka gaher baech kar.
Apna dil apni tabahi ka sabab hota hai,

Yeh Muhabbat ka zamana b ajeeb hota hai,

Kon c baat ney kis shakhs ka dil tor diya,

Bolney waley ko ehsas hi kab hota hai..
aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n
shahar me.n aaj raushanii kam hai

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai

aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai

tere dam se hii mai.n mukammal huu.N
bin tere terii ''Yamini'' kam hai
hadsoon ki duniya mein kon kiss ko rota hai
yaad kar ke dukh apney khoon dil ka hota hai

amad_e_baharan par roye khoob roye hum
dard yoon be thamta hai dard yoon be hota hai

app ki nigahoon mein wo be hogaye mujrum
jin ki begunahi par asmaan be rota hai

khaak mein milein akhir sub riyaztein oss ki
jagney se kya hoga jub naseeb sota hai

naqsh subt hotey hein dil mein bewafai ke
naaz jin pe kartey hein maan jin par hota hai

dil mein kitney tufaan hein purskoon chehra hai
janey wo Sameer apney dukh kahan samota hai!!
Har lafz ko kagaz pe utara nahi jaata,
Har naam ko sare aam pukara nahi jaata,
Hoti he dosti me kuchh raaz ki baaten,
Yuhin to iss khel me dil haara nahi jaata!
Raat yun dil mein teri, khoyi hui yaad aayi,
Jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaye,
Jaise sahraaon mein haule se chale baad-e-naseem,
Jaise bimaar ko be-wajaah quraar aa jaaye.