Kitna makhmuur bulawa

Kitna makhmuur bulawa
Kitna makhmuur bulawa hai Teri Aankhon main

Main agar raah se bhatkha hoon to mujrim tum ho
  

Jun, 02 2010     95 chars (1 sms)     2667 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Paas Hote Lab Choom k Jagate Tum Ko

Rakh K Dil Pe Haath Dharkanai''n Sunate Tum Ko

Aur Jo Tum Sukoon Ki Aarzu Kerte

Rakhte Sar Seene Pe Aur Sulate Tum Ko ...
Dil Chahe Dekhna Unhe To Batao Aankho Ka Kya Kasoor
Har Pal Mahsoos Ho Jo Unki Khushbu To Sanson Ka Kya Kasoor

Vaise To Har Khowab Pooch K Nahi Aate
Magar Har Roz Unka Khowab Aaye To Raton Ka Kya Kasoor
Aaj Bhi Ek Sawal Hai is DIL Me,

Pyar Ka Gam Beshumar Hai is DIL Me,

Kuch Keh Nahi Pata Ye DIL Magar

Kisi Ke Liye Bahut Pyar Hai Is DIL me
Sochta hoon k usay neend bhi aati ho gee
Ya meri tarah ashq bahati ho gee
Woh meri shakal mera naam bholanay wali
Apni tasveer say kya aankh milati ho gee
Is zameen par bhi hai selaab meray ashqon say
Meray matam ki sada arsh hilati ho gee
Mujh main Khushbu basi "Usi" ki hai,
Jese ye Zindagi Usi ki hai...

Wo kahin Aas-Paas hai Mere,
Ho Na Ho,Ye hansi "Usi" ki hai...

Ab to Ye khwab b nahi Mere,
Ab to ye Neend b "Usi" ki hai...

Ya to koi Kami nahi Mujh main,
Ya phir Mujh main kami "Usi" ki hai...
Ehsaas Ager Ho Tu
Karo Muhabbat Mehsoos
Her Baat Ka Izhar
Zarori Nahi Hai LAB SE
Tum Bin
Itni shiddat ansuOn main pehlay kabhi na thi . . .

Dekha apnay naseeb kO tOu
sar-e-aam rO diye . .
Wo pochta rha or me ye wazhat na de pai ke

barish to shab bhAr mere angan me barsi thi lekin

meri ankhon ka kajal takiye pr kyn phila huwa tha
shaid woh milay un hi raahon par

jin raahon par chora tha usay...

kirnon ki kaliyan chuntay huye...

meri janinb dortay atay huye,

phir ruk kar wapas jatay huye...

shaid wohi mausam ab tak ho

jis mausam mein dekha tha usay.....
Kare woh pyaar shubha shaam zaruri to nahi
Har chahaat ka ho sahi Anjaam Zaruri to nahi

Pyaar to pyaar hai chahe chhup-chhup he kare,
Log Charche kare Saare-aam zaruri to nahi,
Tum Sab Jo Meri Baat Suno
Ek Qissa Tumhain Sunata Hoon
Ye Qissa Nahi Zamane Ka
Ye Qissa Hai Parwane Ka
Jo Pal Pal Jeeta Marta Tha
Jo Pyar Bohat Hi Kerta Tha
Har Baat Usay Malum Tou Thi
Ek Baat Magar Wo Bhula Betha
Sham''ma Ko Haasil Kerne Main
Khud Apna Aap Ganwa Betha
Yun Ishq Ki Hadh Se Guzarne Main
Parwane K Jal Marne Main
Ab Jaagti Hai Na Soti Hai
Sham''ma Ab Har Pal Roti Hai
Meray QataL ka Irada ho tu khanjr se waar na krna.
" JÄÄÑ "
Meray marnay k Lye kafi hai tera Auron say pyar karna.