Hum safar ban key hum saath hain
aaj bhi
phir bhi hai ye safar ajanabi ajanabi
Raah bhi ajanabi mord bhi ajanabi
jayein ham kidhar ajanabi ajanabi
Zindagi ho gai hai sulagata safar
door tak aa rahaa hai dhuaan saa nazar
Jaane kis mord par kho gai har Khushii dey key dard-e-jigar ajanabi ajanabi
Hum ney chun chun ke tinke banaaya tha jo
aashiyaan hasaraton se sajaayaa tha jo
Hai chaman mein wahi aashiyaan aaj bhi lag raha hai magar ajanabi ajanabi
Kis ko maalom tha din ye bhi aayeinge mausamon ki tarhan dil bhi bada jaayeinge
Din hua ajanabi raat bhi ajanabi
har ghari har pahar ajanabi ajanabi