jhoot ehsas ki qandeel ko bujha deta hai
mujhe INSAN samjh khud ko farishta na bana
apni yaden tu mere dil main rehne de
is mehkte hue gulzar ko sehra na bana
Tum bhi suno Tum shayed samajhti ho Keh
tumharay lafz main siraf parhta hoon
Tumhari awaz siraf sunta hoon
Tumharay naqoosh siraf dekhta hoon Aour tumhara
wajood siraf choota hoon Ghalat bilkul ghalat
Tumhain kia patta Keh tumharay lafzon ki cheekh .
Tumhari aawaz ka karb.
Tumharay naqoosh ki pukaar Aour.
tumharay lums ki rooh Meri zaat ki mawaraai tehon
ki Kitni gehri parton main utar ke Tumhian meray
andar kiss kiss tarah
Amar kar detay hain....
suna hoga bohat tum nay
kahin aankhon ki rim jhim ka
kahin palkon ki shabnam ka
parha hoga bohat tum nay
kahin lahjay ki baarish ka
kahin sagar k ansu ka
magar tum nay kabhi ham dam
kahin dekhay? kahin parhay?
kisi TAHREER k ansu?
mujhay teri JUDAAI nay
yah mairaaj bakhshee hai
k main jo lafz likhta hun
wo saray lafz routay hain
k main jo hurf bunta hun
wo saaray batain kartay hain
meray sang is judaai mein
MERAY ALFAAZ martay hain!
Sab se chahat ka silsila rakhna
Phir bhi thora sa fasila rakhna
Kitna mushkil hai dard kha k bhi
Dil mai jeney ka hosla rakhna
Sehte rehna dard bhi zamany ke
Aur chehra bhi phol sa rakhna
Mai ujalon mai dhal k aaon ga
Tu darecha sada khula rakhna
Zindagi us ki khushbo hai SAGAR
Dard ka gulshan sada hara rakhn