Tumhain bhool gya hoon

Tumhain bhool gya hoon
Tumhain bhool gya hoon, akailay rehna aa gya hai shaid.
Woh jiss khirki main chand tha, sooraj aa gya hai shaid.


Mehfill sakoon main hai, Paimana hai preshaan.
teray laboon ko chhoo kar, wapiss aa gya hai shaid
  

Jun, 01 2010     218 chars (2 sms)     2416 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

WafA Ka dArs

lena Ho to

phooL se Lo



jo podAy se juda Hoty he


murjhA JatA Hy.
Ab yeh bhi nahi Theek keh har dard mita deN










Kuch dard kaleje se lagaane ke liye haiN
Kiya Tum Bhi

Kiya Tum Bhi
Aansoo Rokny Ki Koshish Mein
Palkyn Teez Teez Jhapakty Ho
Aur
Kesi Sandesey Ki Aas Mein Baar Baar
Darwazy Ki Janib Lapakty Ho
Kiya Tum Bhi
Phool Pey Girti Barish Ki Aawaz Sey
Aur
Door Kahin Bajny Waly Almiyaan
Saaz Ki Aawaz Sey
Aafsurda Ho Jaty Ho
nend aati hi nahi aankhon ki dehlizon tk
khali reh jata h aksar ye makan sham ke bad
Rakhay khuda nay do rastay mujhay azmanay k liye
Woh chor day mujh ya mein chor doon usay zamanay k liye
Kaisay maang loon rub say usay bhool janay ki dua
Hath uthtay nahi hain dua mein usay bhool janay k liye
Nahi ki zindagi mein meinay koi bhi neki
Par parhi hain chhup k kuch namazein usay panay k liye
Nahi hai tu na sahi who qismat mein meri
Par aik mauqa to day usay ay RAb yeh aansu dikhanay k liye
hum jis ko takte hain her waqat dil ki nazar se amir.

wo chand tu kisi or asmaan ka hai.
Tere hath se mere hath tak
Woh jo hath bhar ka tha fasla
Ussay naptay, Ussay kat'tay
Meri sari Umar guzar gye
Aankho mein aansoo aye na hote .
Agar wo peeche se muskuraye na hote.
Unke judai ke baad ye gam hota hai ki.
Kash wo jindgi mein aye na hote
Agar hota ikhtiar likhny ka

To mein apna khuwab likhti

Tary hontho ko gulaab

Aur tary chahry ko chand likhti

Bhool ke tumhary pyar

mein sari kaynat ko

Tari bahoon kghairy mein

Apna anjaam likhti

Agaar mary ikhtear mein hota

Apni taqdeer ko likhna

Tumhain dekhna

Tumhain sochna

Mein apna kaam likhti
Shaam Tak Subha ki Nazron se Utar Jaatay Hain
itnay samjhoto pe jeetay Hain ke Mar jaatay Hain

Hum to Be Naam iraadon ke Musaafir Hain "Tanha"
Kuch Pata Ho to Batayen kidhar Jaatay Hain

Ghar ki Girti Hui deevarain Hi Mujh se Achi
Raasta Chaltay Hue Log Thahar Jaatay Hain

Ek judai ka wo Lamha ke jo Marta Hi Nahi
Log Kahtay thay Sab WaQt Guzar Jaatay Hain

Phir Wahi Talkhi-e-Haalat MuQaddar Thahri
Nashe Kaise bhi Hoon Kuch Din Main Utar Jaatay Hain
ESI KA CHEHRA NIGAHOON MAIN PAL RAKHTA THA
MAIN US KA KHUD SE ZIADA KHAYAL RAKHTA THA

ZARA SI BAT PE WOH MUJ SE ROOTH JATA THA
MAIN US SE PAYAR KA RISHTA BAHAL RAKHTA THA
Bichrna chahta hai or juda hone se darta hai

Wo meri Qaid main reh kar raha hone se darta hai

Gali k morr tak wo dekhta rehta hai chhup chhup kar

Palat kar dekh loon to samny hony se darta hai

Wo khud likhta hai tenhai mean mera naam hathoon par

Magar jab ru_ba_ru aye to mera hony se drta hai.