Urdu Poetry SMS Messages5292 messages

Ta''aluq Baad Main
Tabdeel Ho Kr Jo Bhi
Reh Jaaye

Mohabbat Main Wo
Pehla Muskurana
Yaad Rehta Hy !!!
Abhi Socha Hi Tha Dhoondo''n
Uffaq k Paar Ka Raasta

Tou Dil Bola Mera Socho Kabhi
Ka La-Pataa Hoon Main !!!
Har Tarah K Jazbat Ka Elan Hain Ankhen.
Shabnam Kabi Shola Kabi Tufaan Hain Ankhen.
Ankhon Se Bari Koi Tarazu Nai Hoti.
Tulta Hai Bashar Jis Mai Wo Mezan Hain Ankhen.
Ankhen Hi Milati Hain Zamanay Mai Dilon Ko.
Anjan Hain Hum Tum, Agr Anjan Hain Ankhen.
Lab Kuch B Kahen Is Se Haqiqat Nai Khulti.
Insan K Sach Jhot Ki Pehchan Hain Ankhen.
Ankhen Na Jhuken Teri Kisi Ghair K Agay.
Dunia Mai Bari Cheez Meri Jaan! Hain Ankhen..
Hans Bol K Rukhsat Hona Hay
Phir Tanha Baith Ke Rona Hay

Din Yaad k Saya Daar Shajar
Shab Khabon Bhara Bichona Hay

Mujhy Ain Khizan Main Tere Liye
Phoolon Ka Haar Pirona Hay

Tere Pyar Ka Samra La Haasil
Pather main Beej Ka Bona Hay

Itna Dilgeer Ameer Na Ho
Ho Jaye Ga Jo Kuch Hona Hay
Hazaron gham hain lekin aankh se nikley nahi ansoo

Hum ehl e zerf hain peetay hian chulkaya nahi kertey.
hum bhi adhuray se hain kuch tum bhi adhuray
se hoo shayad hum dono eik dusray ki wajah se adhuray hain adhurapan bhi kya bala hai ashq thamtay nahin pyaas ghatti nahin
bina meray adhooray tum tumhara pyar bhi aadah
humaray bin tumhare pyar ka aagaaz bhi aadah
Meri Taqdeer Se Pooch Meri Qismat Ka Faisla.

Meri Muskurahat Pe Na Ja Mere Dard Ko Talaash Kr.

Meri Aankhon Se Pooch Mere Intizaar Ki Inteha.

Mere Itminaan Pe Na Ja
Mere Sabr Ko Talaash Kr.

Mere Pyar Se Pooch Mere Pyar Ka Aalam.

Meri Soorat Pe Na Ja Meri Seerat Ko TALAASH Kr..
Main ab khayalon main teri tasweer banaoon magar kaise
Tu hi bata haal-e- Dil tujhe sunaon magar kaise,
Jo mahel banaye the khuwabon main humne
In mahlon main Wafa ke deep jalaoon magar kaise
Sirf aik shakhs k gham mein muje barbad na kr,
Roz rotay huwe kehti hai jawani mujh se
jitna b usko sochoon utna hi door paoon,
jitna b usko chahoon khud hi bikharti jaoon,
may aam c musaafir be aas be sahara,
wo door kahin basta ek aasman ka tara,
may rait se ulajhti sehraon ki hawa hun,
wo sahilon pe chalti baad-e-saba ka jhonka,
han farq to bohat hai, pr baat ye faqt hai,
may lakh toot jaoon,khud se hi rooth jaoon,
pr ye na hoga mujh se, k may usko bhool jaoon...!

Na Fikar-e-Farda

Na Yaad-e-Maazi

Na Chain Dil Ko

Na Be-qarari

Na Hadh Sy Guzra Hua
Junoon Wo

Bas Ek Udaasi Hy
Dheemi Dheemi

Bas Ek Khamoshi Y
Ba-qarari

Jo Zindagi K
Adhoray-pan Ko

Hadho''n Sy Aagey
Barha Rahi Hy

Shayad Teri Yaad Aa
Rahi Hy

Haan !

Teri Yaad Aa Rahi Hy