zaroori SMS Messages39 messages

Iss Duniya Ki Bheer Mein Koi Tanha Nahi Ye zaroori Tu Nahi... Hanstey Laboon Kay Peechay Koi Siski Na Ho Ye zaroori Tu Nahi... Muskarati Aankhoon Kay Peechey Koi Aansoo Na Ho Ye zaroori Tu Nahi... Ye Dil Under Say Tootey Or Chanak Bahar Bhi Sunai Day Ye zaroori Tu Nahi... Hum Under Say Jal Jaeen Or Dhuaa Bahar Bhi Dekhai Day Ye zaroori Tu Nahi... Duniya Aapne Diya Hue Zakhmoo Per Marham Bhi Rakhey Ye zaroori Tu Nahi
Mumkin nahi shab-o-rooz ka aik hona

chahat teri meri deewangi apni jagah
Mumkin nahi shab-o-rooz ka aik hona

Goo kafi nahi pyarr mai lamhoon ka milan
Hota hai ajaam-e-ulfat roohon ka aik hona

Bikhrey hathon ko samait kyon nahi letey
Mushkil buhat hai Urooj-o-zawaal ka aik hona

Aab bhi yaad atey hain beetey hoye pal
Wo zulfon ka bikhrana or nazron ka aik hona

Aik hi hotey hain aksar rastey humarey
zaroori NAHIN MAGER, MANZIL KA IK HONA
kia zaroori hey key jo hum chahtey hen wo hi ho?
jo safer kertey hen hum uski koi manzil bhi ho?

qurbatoon aur faslon key dermiyan jo lamha hey
us lamhey per her chahney waley ko kuch qudrat bhi ho?

hum raat bher jiskey liey jagtey bhi hen rotey bhi hen
wo bhi hamen kuch yaad kerta, sochta, rota bhi ho?

kia zaroori hey key her dukh ka miley koi hisaab?
aur hamarey dukh ka koi bantney wala bhi ho

hum jisey apna nahi kehtey hen apna jaan ker
wo humen apna samajhta ho mager kehta bhi ho?

kia zaroori hey key jo hum chahtey hen wohi ho?
jo safer kertey hen hum uski koi manzil bhi ho?
manzilain sab ka muqadar hon yeh zaroori to nahin
kho bhi jaatay hain nayi raahon par chalnay walay...!!!
jab kisi sey koi gilah rakhna
samney apney ik aiena rakhna

Yon ujalon sey wasta rakhna
Shama key paas hi hawa rakhna

Jab kisi sey Koi gilah rakhna

Ghar ki tameer chahey jaisey ho
Iss mai rooney ki kuch jaga rakhna

Masjidein hain namaziyon key lye
apney ghar mai kahin khuda rakhna

Milna julna jahan zaroori ho
Milney julney ka honsla rakhna

Samney apney ik aiena rakhna
Jab bhi kisi sey koi gilah rakhna
Kahin aisa na ho Daman jala lo
Humarey Aansoon per khaak daalo

Manana hi zaroori hai tu phir tum
Humein sab sey khafa ho ker mana lo

Buhat rooyi hoi lagti hain aankhien
Meri khatir zara kajal laga lo

Akailey pan sey khoof ata hai muj ko
Kahan ho aye mere khawabon khayalo

Buhat mayoos bheitha hon mai tum sey
Kabhi aa ker mujey khairat mai daalo



Kahin aisa na ho Daman jala lo
Humarey Aansoon per khaak daalo
Ajeeb Tarahse Socha Hai Zindagi Ke Liye,
Ke Zakhm Zakhm Main Khulta Hoon Har Khushi Ke Liye,

Wo Mujhko Chhod Gaya To Mujhe Yaqeen Aaya,
Koi Bhi Shakhs zaroori Nahi Kisi Ke Liye,

Sawal Ye Hai Ke Usne Kabhi Nahi Puchha,
Ke Aap Sochte Kaise Hai Shayri Ke Liye,

Use Khabar Hai Ke Uska Koi Nahi Apna,
Ek Aashnayi Bhi Kafi Hai Ajnabi Ke Ilye,

Khata Kisiki Ho Lekin Saza Kisiko Mile,
Ye Baat Jabar Ne Chhodi Hai Har Sadi Ke Liye,

Ye Saadgi Thi Meri Ya Ke Saad Chahat Thi,
Ke Maine Khud Ko Kiya Pesh Dillagi Ke Liye
Khud say ruthoon to kayee roz na khud say boloon
Phir kisi dard ki deewar say lag kar ro loon

Tu samander hai to phir apni sakhawat bhi dikha
Kya zaroori hai k main pyaas ka daaman kholoon

Main k ek sabr ka sehraa nazar ata hoon tujhay
Tu jo chahay to teray wastay darya ro loon

Aur meyaar rafaqat k hain aisa bhi nahin
Jo mohabbat say milay saath isi k ho loon

Khud ko umron say muqfal kiye betha hoon faraz
Who kabhi aye to khalwat-kada e jaan kholoon
Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao
Akhela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao

Bhot Jaldi Samajh mein aany lagty ho Zamane ki
Bhot Aasaan ho, thory Bhot dushwaar ho jao

Mulaqakto mein wafa ls liye hona zaroori hai
Ke tum ik Din Judaaee ke liye Tayaar ho jao

Main Kesi Chal chalati Dhoop ke Sehra Se ayi hoon
Bas ab Esa karo , Tum Saya-e-Dewaar ho jao

Tumhary paas deny ky liye jhoti Tasali ho
Na Aay Esa Din , Tum isqadar Nadaar ho jao

Tumhy Maloom ho jaye ga Kese Ranj Sehty hai
Meri itni Duaa hai Kaash tum "Tanha" Fankaar ho jao
Usoolon pe jo aanch aaye to takraana zaroori hai
Agar zinda hain to zinda nazar aana zaroori hai

Nayi umro ki khudmukhtaariyon (arrogance) ko kaun samjhaaye
Kahan se bach ke chalna hai kahan jaana zaroori hai

Thake haare parinde jab basere ke liye lautein
Saleeka mand saakhon ka lachak jaana zaroori hai.

Saleeka hi nahin shaayad use mahsoos karne ka
Jo kehta hai khuda hai to nazar aana zaroori hai

Mere hothon pe apni pyaas rakha do aur phir socho
Ki iske baad bhi is duniya mein kuchh paana zaroori ha
Yahan Sabko Miley Pyar Ye zaroori To Nahi Hai
Ho Qismat Par Ikhtiyar Ye zaroori To Nahi Hai

Dard Dil Mein Agar Hoo Tho Rooh Roti Hai
Aankhein Roye Zaar Zaar Ye zaroori To Nahi Hai

Phoolon Ki Chubhan See Joo Daman Howa Chalni
Ho Usmey Koi Khar Ye zaroori To Nahi Hai

Jo Harghari Khatey Hain Sang Marney Ki Kasmein
Ho Sang Jeeney Ko Taiyaar Ye zaroori To Nahi Hai

Umeed Mee Jiski Teri Palkein Howi Pathhar
Usey Hoo Tera Intezar Ye zaroori To Nahi Hai

Yaqeen Karke Jis Ko Apni Zindagi Banown
Usey Tujhpar Hoo Aitbar Ye zaroori To Nahi Hai

Band Ker Rona Khwab Badnaseebi Par Apney
Ziist See Hoo Sab Bezar Ye zaroori To Nahi Hai
Manzilain Sab Ka Muqadar Hon Yeh zaroori To Nahin
Kho Bhi Jaatay Hain Nayi Raahon Par Chalnay Walay...!!!