zaman SMS Messages293 messages

Main Usay Dill Say Piyar Karti Hoon Rang Jis Ka Hina Say Milta Hai.
Rangat Main Dilfarareb Hum Bhi Nahin LAKIN Saanwali Si Is Jori Say zamana Jalta Hai.
Ab k Kerna Tou Kisi Aise Se Chahat Kerna

K Jis Ko Aata Nahi Ho Shikwa Shikayat Kerna

Teri Kam-Goi K Charchey Thay zamane Bhar main

Kis Se Seekha Hai Tum Ne ye Baato''n ki Wazahat Kerna

Pehle Khusbhu K Mizajo''n Ko Parakh Lo Nadaan

Phir Gulestaan main Kisi Gul Se Mohabbat Kerna
Kuch Tu He Is Karb Ka Mafhoom Samajh Ly . . .


Ye Hansta Hua Chehra To zamanay Kay Liay Hay . . .
Kisi ne door se dekha koi qareeb aaya
Ameer shehar main jab bi koi ghareeb aaya

Hawa main zehar gola paniyon main aag lagi
Tumhare bad zamana bara ajeeb aaya
Wo Jo basa Hai Mere Dil Mein Usey Bataon Kese
Dar Bhi Lagta Hai zamane Se Chupaon Kese
WO Shaks To Panchi Hai Urr jaye Ga
Mein Khud Ko Uske Peeche Uraon Kese
Mein To Uske Liye Duniya Gi Chor Don
Iss Se Zada Mein usey toot ker chahon kese
dil hai jo uss ajnabi ko apna manta hai
iss dil-e-nadan ko mein samjhaon kese
wo shaks mere dil pe hukmurani kerta hai
uske elawa mein kisi aur ko basaon kese
Muhbt rog hoti ha kaha b tha . .
Rula k khud b roti ha kaha b tha . .

Use tm dil ki dharti ka pta mt do . .
Ye us ma dard boti ha kaha b tha . .

Kinare k buht nazdeek le ja kr . .
Ye kashti ko daboti ha kaha b tha . .

Azal se is ki aadat ha zamane ko . .
Jaga kr aap soti ha kaha b tha . .
Hm Ghum Ki Raat Khayalon Me Kat Dete Hen,

Mile Jo Din Ujalon Me Bant Dete Hen,

Hm DARD-E-DIL

Ko Bohat Aziz Rkhte Hen

Mile Jo Khushi zamane Me Bant Dete Hen.
Guzray Huay Taweel zamanay Kay Baad Bhi
Dil Main Raha Woh Choor Kay Janay Kay Baad Bhi
Pehlu Main Reh Kay Dil Nay Dia Hai Bohat Faraib
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulanay Kay Baad Bhi
be Shak Nibha Sake Ga Na Wadey Kie Howe

likin Yeh Dil Wafa Ke Irade Kie Howe


may Janta Hoon Dost Ke Rasmo Ke Khil May

pore Na Kar sakoge Tum Wade Kie Howe


sachai Ki Jhang May Hara Hoon is Liye

har Dost Samne tha Peyade Kie Howe


chahonga Youn K De Ga zamana Meri Misal

eik Shakhs Mar Gaya Irade Kie Howe.....
Aj Mainy Osy Dekha Hai
Barsoon Bad
Dil Kuch Nae Andaz Se Dharka Hai
Barsoon Bad
Dil Chaha! K Barh Kar Roke Lo
Lakin
zamane Ke Nigahoon Ne Saath Na Chora
Barsoon Bad
Dil Chaha! K Tery Rah Guzar ko Dekhta Hi Raho
Jany To Phir Kab Ay Barsoon Bad
KiTnaY MUkhTalif HaiN zamanAy say Hamaray KHayalaat





Loog ZiNdagii PeH Fidaa HaiN AUr haM ZInDaGii say KHafaa ...
Hoonto pe mohabat ke fasane nahi aaty
saahil pe samundar ke hazane nahi aaty
palkein bi chamak uthi hein sote hi hamari
aankho ko abhi khawab chupane nahi aaty
dil ujri hain ik saraye ki terha hain
ab loogh yahan raat jagane nahi aaty
yaaro naye mousam ne yeh ahsaan kiye hein
ab yaad samje derd porane nahi aate
urdny do abhi parindo ko shoh hawa mein
phir lout ke bachpan ke zamane nahi aaty
is shehar ke badal teri zulfon ki terha hein
yeh aag lagate hein per bojane nahi aaty
ahbaab bi gharon ki terha ada seekh gaye hein
aaty hein magar dil ko dukhane nahi aaty…